Hum To Tere Dil Kee Mehfil Sajane Aaye The; Teri Kasam Tujhe Apna Banane Aaye The; Kis Baat Kee Saza Dee Tumne Humein Bewafa; Hum To Tere Dard Ko Apna Banane Aaye The

Kuch Main Bhi Thak Geya Use Dhoondte Hue; Kuch Zindagi Ke Paas Bhi Mohlat Nahi Rahi; Us Kee Har Ek Ada Se Jhalakne Laga Khaloos; Jab Mujh Ko Aitbar Kee Aadat Nahi Rahi

Khamosh Guzar Jate Hain Woh Kareeb Se; Sawal Uthte Hain Dil Mein Ajeeb Se; Woh Khafa Hain Ya Yeh Unki Koi Ada Hai; Shikayat Bhi Kya Karein Ab Agar Yahi Hai Naseeb Mein

Tere Hussan Ke Hum Deewane Ho Gaye; Tujhe Apna Banate Banate Hum Khud Se Begaane Ho Gaye; Na Chor Na Mujhe Tu Aaye Zalim; Tere Kareeb Aakar Hum Duniya Se Dur Hogaye Hai

Kyon Koi Chaah Kar Mohabbat Nibha Nahi Paata; Kyon Koi Chaah Kar Rishta Banaa Nahi Paata; Kyon Leti Hai Zindagi Aisi Karvat; Ki Koi Chaah Kar Bhi Pyaar Jataa Nahi Paata

Na Zindagi Mili Na Wafa Mili; Na Jaane Kyon Har Khushi Humse Khafa Mili; Jhoothi Muskaan Liye Apne Gham Chupaate Hain; Sachhi Mohabbat Karne Kee Bhi Kya Khoob Saza Mili

Dil Tod Kar Hamara Tumko Rahat Bhi Na Milegi; Hamare Jaisi Tumko Chaht Bhi Na Milegi; Yun Itni Berukhi Na Humein Dikhlaiye; Hum Agar Ruthe To Hamari Aahat Bhi Na Milegi

Kitna Ajeeb Apni Zindagi Ka Safar Nikla; Saare Jahan Ka Dard Apna Muqaddar Nikla; Jiske Naam Apni Zindagi Ka Har Lamha Kar Diya; Afsos Wo Hamari Chahat Se Bekhabar Nikla

Aankhon Ke Ishaare Samajh Nahi Paate; Honthon Se Dil Kee Baat Keh Nahi Paate; Bebasi Ka Aalam Ab Kuch Yun Ho Geya Ki; Kuch Keh Bhi Nahi Paate Aur Chup Reh Bhi Nahi Paate

Nigahon Pe Nigahon Ke Pehre Hote Hain; Nigahon Ke Ghav Bhi Gehre Hote Hain; Na Jaane Kyun Koste Hain Log Badsurton Ko; Barbaad Karne Wale To Khoobsurat Chehre Hi Hote Hain

Gum Ye Nahi Ki Kasam Apni Bhulai Tum Ne; Gum To Ye Hai Ke Raqeebon Se Nibhai Tum Ne; Koi Ranjish Thi Agar Tum Ko To Mujh Se Keh Dete; Baat Apas Ki Kyon Sab Ko Batai Tum Ne

Taraste The Jo Humse Milne Ko Kabhi; Na Jaane Kyon Aaj Humare Saye Se Bhi Katrate Hain; HUm bhi Wahi Hain Yeh Dil Bhi Wahi Hai; Na Jaane Phir Kyon Aise Log Badal Jaate Hain

Ghum Ye Nahi Ki Kasam Apni Bhulai Tum Ne; Ghum To Ye Hai Ki Raqeebon Se Nibhai Tum Ne; Koi Ranjish Thi Agar Tum Ko To Mujh Se Keh D Baat Aapas Kee Kyon Sab Ko Batai Tum Ne

Umeed To Manzil Pe Pohnchnay Ki Bari Thi; Taqdeer Magar Janay Kaha Soi Padi Thi; Khush Thay K Guzarein Gey Rafaqat Mein Saffr Ab; Tanhai Magar Baahon Ko Phir Kholay Khadi Thi

Jisne Kabhi Chahton Ka Paigaam Likha Tha; Jisne Apna Sab Kuch Mere Naam Likha Tha; Suna Hai Aaj Use Mere Zikar Se Bhi Nafrat Hai; Jisne Kabhi Apne Dil Par Mera Naam Likha Tha