Karoge Yaad Ek Din Iss Pyaar Ke Zamane Ko; Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko; Chalega Mehfil Mein Jab Zikr Hamara Koi; To Tum Bhi Tanhayi Dhoondoge Aansu Bahane Ko

Unse Milne Ko Jo Sochun Ab Wo Zamana Nahi; Ghar Bhi Kaise Jaun Ab To Koi Bahana Nahi; Mujhe Yaad Rakhna Kahin Tum Bhula Na Dena; Mana Ki Barson Se Teri Gali Me Aana Jana Nahi

Bewafai Karke Niklun Ya Wafa Kar Jaunga; Shehar Ko Har Zaike Se Aashna Kar Jaunga; Tu Bhi Dhoondega Mujhe Shauq-e-Saza Mein Ek Din; Main Bhi Koi Khoobsurat Si Khata Kar Jaunga

Muddat Se Jis Ke Waaste Dil Beqarar Tha; Wo Laut Kar Na Aaya Magar Intezaar Tha; Jo Humsafar Tha Chhod Gaya Raah Mein Mujhe; Main Phans Gaya Bhanwar Mein Woh Darya Ke Paar Tha

Dil Tod Kar Hamara Tumko Rahat Bhi Na Milegi; Hamare Jaisi Tumko Kahin Chahat Bhi Na Milegi; Yun Itni Berukhi Na Dikhlaiye Humein; Hum Agar Ruthe To Hamari Aahat Bhi Na Milegi

BhulaKar Mujhe Agar Tum Ab Bhi Ho Salamat; To BhulaKar Tumhein Sambhalna Mujhe Bhi Aata Hai; Meri Fitrat Mein Nahi Hai Ye Aadat Varna; Teri Tarah Yun Badalna Mujhe Bhi Aata Hai

Yahin Se Jaan Geya Main Ki Waqt Dhalne Lage; Main Thak Haar Ke Baitha To Pair Jalne Lage; Jo De Raha Tha Sahaare To Ik Hajoom Mein Tha; Jo Gir Pada To Sabhi Raasta Badalne Lage

Pehli Mohabbat Thi Hamari Hum Jaan Na Sake; Pyaar Kya Hota Hai Hum Pehchan Na Sake; Humne Unhe Dil Mein Basaya Hai Iss Kadar Ki; Chah Kar Bhi Hum Unhe Apne Dil Se Nikaal Na Sake

Chaand to nikla hai magar yeh raat na hai pehli si Yeh mulaaqaat mulaaqaat na hai pehli si Ranjh kuchh kum to hua aaj teray milne se Yeh alag baat ke yeh baat na hai pehli si

Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ki Jee Jaanta Hai; Ranj Bhi Aise Uthaye Hain Ki Jee Jaanta Hai; Jo Zamane Ke Sitam Hain Wo Zamana Jaane; Tu Ne Dil Itne Sataye Hain Ki Jee Jaanta Hai

Khuli Jo Aankh To Wo Tha Na Wo Zamanaa Tha; Dehakati Aag Thi Tanhayi Thi Fasanaa Tha; Ye Kya Ki Chand Hi Kadmon Pe Thak Ke Baith Gaye; Tumhein To Saath Mera Door Tak Nibhanaa Tha

Umeed To Manzil Pe Pahunchne Ki Bari Thi; Taqdeer Magar Janay Kahan Soyi Parri Thi; Khush They Ke Guzarein Gey Rafaqat Mein Safar Ab; Tanhayee Magar Baahon Ko Phir Kholey Khari Thi

Chahat Kee Raah Mein Bikhre Aarmaan Bahut Hain; Hum Uski Yaad Mein Pareshan Bahut Hain; Woh Har Baar Dil Todta Hai Ye Keh Kar Ki; Meri Ummedon Kee Duniya Mein Abhi Mukaam Bahut Hain

Bhula Kar Mujhe Agar Tum Ab Bhi Ho Salamat; To Bhula Kar Tumhein Sambhalna Mujhe Bhi Aata Hai; Meri Fitrat Mein Nahi Hai Bas Ye Aadat Varna; Teri Tarah Yun Badalna Mujhe Bhi Aata Hai

Zamana Badal Geya Badal Gaye Insaan Bhi; Aaj Badla Sab Kuch Chahat Aur Pyaar Bhi; Aaj Kisi Kee Nazar Mein Keemat Nahi Hai Khoon Kee; Paisa Jis Kee Jeb Mein Wo Hi Sultaan Aur Ameer Bhi