Humne To Ek Hi Shaks Par Mohabbat Khatam Kardi; Ab Mohabbat Kis Ko Kehte Hain Kuch Malum Nahi

Anokhi Waza Hai Sare Zamane Se Nirale Hain; Ye Aashiq Kaun Si Basti Ke Ya Rab Rehne Wale Hain

U To Bahti Hawa Bhi Ab Gaane Lagi HaiGhajab Ye Hai Ki ’Sehra’ Bhi Khilne Laga Hai

Gum sum Si Raahguzar Thi Kinara Nadi Ka Tha; Paani Mein Chaand Chaand Mein Chehra Kisi Ka Tha

Kuch Nahi Mila Bus Ek Sabak De Geya Ishq; Khak Ho Jata Hai Insan Khak Se Bane Insan Ke Peeche

Mere Lafzon Ki Pehchan Aggar Kar Laita Woh Faraz; Ussey Mujhse Nahi Khud Say Mohabbat Ho Jaati

Mujh Mein Lagta Hai Ke Mujh Se Zyaada Hai Woh; Khud Se Barrh Kar Mujhe Rehti Hai Zaroorat Uski

Neend Bhi Nilaam Ho Jati Hai Bazaar-e-Ishq Mein; Itna Aasan Nahi Hai Kisi Ko Bhula Kar So Jana

Aao Be-Parda Tumhein Jalwa-e-Pinhan Kee Kasam; Hum Na Chedenge Humein Zulf-e-Pareshan Ki Kasam

Hoga Kasu Deewar Ke Saaye Mein Para Mir; Kya Kaam Mohabbat Se Uss Aaraam Talab Ko Kasu = Some

Umeed To Yahi Karti Hun Main, To Wafa Har Pal KaregaTut Gar Jau Jar Main Kabhi To Dua Tu Karega

Kabhi Daaman-e-Dil Par Daag-e-Mayusi Nahee Aaya; Udhar Vaada Kiya Usne Idhar Dil Ko Yakeen Aaya

Hum Tujh Se Alag Reh Ke Bhi Rehte Hain Tere Paas; Hote Hain Teri Bazzm Main Hote Hian Jahaan Bhi

Mohabbat Naam Hai Jiska Wo Aesi Qaid Hai Yaaro; Ki Ummrein Beet Jaati Hain Sazza Puri Nahin Hoti

Hum ne tere baad na rakhi kisi se mohabbat ki aas; Ik shakhs hi bohat tha jo sub kuch sikha giya