Ae kalam ruk ruk ke chal ek adab ka mukaam hai teri nok ke neeche mere mehboob ka naam hai

Hum Ne Paala Muddaton Pehlu Mein Hum Koi Nahi; Tum Ne Dekha Ek Nazar Se Dil Tumhara Ho Geya

Dil Wo Hai Ki Fariyad Se Labrez Hai Har Waqt; Hum Wo Hain Ki Kuch Munh Se Nikalne Nahin Dete

Apnay Siwa Batao Tumhein Kuch Mila Hai Faraz; Hazar Bar Lee Hain Tumne Mere Dil Ki Talashiyaan

Kahan Dhoondtey Ho Tum Ishq Ko Oh Bekhabar; Yeh Khud Hi Dhoond Leta Hai Jissey Barbaad Karna Ho

Tum Khud-be-Khud Shamil Ho Gaye Meri Saanso Mein; Main Soach Ke Karta Toh Phir Mohabbat Na Karta

Ek Nafrat He Nahi Duniya Mein Dard Ka Sabab; Mohabbat Bhi Sakoon Waloon Ko Badi Takleef Deti Hai

Aaj Badi Der Tak Woh Mohabbat Dikhata Raha Mohsin; Na Jane Kyun Laga Ke Woh Mohabbat Chhod Jaega

Chhup Ke Rehna Hai Jo Sab Se To Ye Mushkil Kya Hai; Tum Mere Dil Mein Raho Dil Kee Tamanna Ho Ka

Hum entry to LAST me karte hain
Lekin jab karte hain to puri mahfil me BLAST karte hain

Is Qadar Toot Ke Tum Par Humein Pyaar Aata Hai; Apni Baahon Mein Bharien Aur Maar Hi Dalein Tum Ko

Ankhon Mein Haya Ho Toh Parda Dil Ka Hi Kafee Hai; Nahi To Naqaab Se Bhi Hote Hain Ishaare Mohabbat Ke

jo kuch byan mere alfaz na kar sake. .
use meri khamoshi hass 😌 kar byan kar deti hai

Ek Baar Apne Andaaze Mohabbat Ka Ikraar Kar Lete; Hum Apni Zindgai To Kya Apni Rooh Bhi Unke Naam Kar Dete

Mat Phenk Pani Me Pathhar; Usey Bhi Koi Peeta Hai; Mat Raho Yun Udaas Zindagi Mein; Tumhe Dekh Kar Bhi Koi Jeeta Hai