Ishq Aur Dosti Meri Zindagi Ka Gumaan HaiIshq Meri Rooh Dosti Mera Imaan HaiIshq Pe Kardu Fida Apni Saari ZindagiMagar Dosti Par Mera Ishq Bhi Kurbaan Hai

Woh inkar karte hain ikrar ke liye Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye Ulti chaal chalte hain yeh ishq karne wale Ankhein band karte hain didar ke liye

Pyaar Ke Panno Se Bhari Kitab Ho Tum; Rishton Ke Phulo Mein Ek Gulab Ho Tum; Jo Log Kehte Hain Ki Pyaar Sacha Nahi Hota; Un Logon Ke Har Sawal Ka Jawab Ho Tum

Falsafe Zindgi Ke Hai Pecheeda Itne KiChalne Se Pehle Meri Raahe Bikhar Jati HaiHazaar Zakhmo Ke Baad Ab Ye Aalam HaiIshq Ke Naam Se Hi Meri Rooh Sihar Jati Hai

Saans Lene Se Bhi Teri Yaad Aati Hai; Har Saans Mein Teri Khushboo Bas Jati Hai; Kaise Kahun Ki Saans Se Main Zinda Hun; Jab Ki Saans Se Pehle Teri Yaad Aati Hai

Safar Mohabbt Ka Dushwar Kitna Hai; Magar Dekhna Hai Ki Koi Wafadar Kitna Hai; Yahi Soch Kar Use Kabhi Manga Nahi Maine; Use Parakhna Hai Ki Wo Mera Talbgar Kitna Hai

Sahil Par Khade Khade Humne Shaam Kar Di; Apna Dil Aur Duniya Aap Ke Naam Kar Di; Yeh Bhi Na Socha Kaise Guzregi Zindagi; Bina Soche Samjhe Har Khushi Aap Ke Naam Kar Di

Kaun Hai Woh Jo Dil Mein Samaye Hue Hain; Unke Liye Hum Har Khusi Bhulaye Hue Hain; Najar Nahi Aate Par Tadap Mahsoos Hoti Hai; Andekhe Yaar Ke Liye Sapne Sajaye Hue Hain

Aapka Intezar Humein Har Pal Rehta Hai; Har Lamha Humein Aapka Ehsas Rehta Hai; Aap Bin Dhadkane Ruk Si Jaati Hain; Kyonki Aap Hamare Dil Mein Hamari Dhadkan Banke Rehte Ho

Ishq Ishq Na Karia Kar Ni Vekh Ishq De Kare; Esh Ishq Ne Joban Rutte Kai Lutte Kai Mare; Ishq Kamavan Aye Jehre Niana De Vanjare; Jattan De Putt Jogi Ho Gaye Chadke Takt Hazare

Ilm Ne Mujh Se Kaha Ishq Hai Diwana-Pan; Ishq Ne Mujh Se Kaha Ilm Hai Takhmeen-o-Zan Translation: Knowledge said to me Love is madness; Love said to me Knowledge is calculation

Mitti Ka Jism Lekar Pani K Ghar Mein Hu; Mnzil Hai Maut Meri Aur Main Har Pal Safar Mein Hu; Hoga Katal Mera Pata Hai Mujhko Par; Yeh Malum Nahi Ke Main Kis Katil Ki Nazar Mein Hu

Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jate Hain; Zinda Lagte Hain Magar Asal Mein Mar Jate Hain; Jab Kabhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se Tu; Kitne Khanjar Mere Seene Mein Utar Jate Hain

Kab Woh Zahir Hoga Aur Hairan Kar Dega Mujhe; Jitni Bhi Mushkil Mein Hun Aasan Kar Dega Mujhe; Roo-b-Roo Kar Ke Kabhi Apne Mehakte Surkh Honth; Ek Do Pal Ke Liye Guldaan Kar Dega Mujhe

Meri Zindagi Ke Raaz Mein Ek Raaz Tum Bhi Ho; Meri Bandagi Kee Aas Mein Ek Aas Tum Bhi Ho; Tum Kya Ho Mere Kuch Ho Ya Kuchh Bhi Nahi Magar; Meri Zindagi Ke Kaash Mein Ek Kaash Tum Bhi Ho