Wo Jo Dawey Dar Hai Shehar Mai K Sabhi Ka Nabz Shanas HunKabhi Aa Key Mujhse To Pochta K Mai Kis K Gham Mai Udass HunYeh Meri KitabEHiyat Hai Ise Dil Ki Aankh Se Parh ZaraMai Warq Warq Tere Samne Tere Ru Baru Tere Pass HunYeh Teri Umeed Ko Kia Hua Kabhi Tune Ghour Nahi KiaKsi Sham Tune Kaha To Tha Teri Sans Hun Teri Aas HunYeh Teri Judai Ka Gham Nahi K Yeh Silsiley To Hain Roz KTeri Zaat Is Ka Sabab Nahi Kai Din Se Yunhi Udass HunKsi Or Ki Ankh Se Dekh Kar Mujhe Aise Wase Laqab Na DeyTera Aietbar Hun JanEMan Na Guman Hun Na Qayas Hun

Dua K Liey Haath Uthiey K Aankhien Num Ho GaieeSajdey Mai Sir Jukaia K Aankhien Num Ho Gaiee!Khuda Ne Mujy Kia Kuch Nawaza HaiYe Socha Hi Tha K Aankhien Num Ho Gaiee!Rub Ne Merey Hissey Mai Jo Tera Peyaar Likha ThaWoh Sab Lamhey Yaad Aiey To Aankhien Num Ho Gaiee!Tu Ne Jo Kabi Kiey They Wadey Khuda K SamneyWoh Sab Yaad Aiey To Aankhien Num Ho Gaiee!Teri Khushbu Teri Kurbat Ke Wo Hasin LamheyWoh Jab Jab Yaad Aiey To Aankhien Num Ho Gaiee!Usey Meri Jis Jis Baat Pey Fakhr Hooa Kerta ThaWoh Sab Batien Yaad Aieen To Aankhien Num Ho Gaiee!

esan ke sondhi roti parkhatti chatani jaisi manyaad aati hai chaukabasanchimata phukani jaisi manbans ke khurri khat ke uparhar aahat par kan dhareaadhi soi aadhi jagithaki dopahari jaisi manchidiyon ke chahakar mein gunjeradhamohan alialimurge ke aavaz se khulatighar ke kundi jaisi manbivi, beti, bahan, padosanthodi thodi si sab meindin bhar ik rassi ke uparchalati natani jaisi manbant ke apna chehara, matha,aankhen jane kahan gaiphate purane ik alabam meinchanchal ladaki jaisi man Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Nida Fazli

Dukhon Ki Shiddatein Zakhmon Ki Gehra’ee Mujhey De DauMasiha Tum Sahi AznEMasiha’ee Mujhey De DauTum Apni Zaat Main Khud Anjuman Ho Tum Ko Kiya Gham HaiMain Tanha Hun Ye ZoqEBazm Araa’ee Mujhey De DauTum Apne Dil Ke Darwaazey Muqafil Shoq Se Kar LoBas Apni Zaat Se AznEShanasa’ee Mujhey De DauTumharey Baad Her Manzer Mujhay Bey’rang Lagta HaiYe Aankhein Chheen Lo Ya Apni Beyna’ee Mujhey De DauMain Sansoon Main Samoo Luun Ga Tumhari Her Amanat KoYe Wehshat Naak Sanna’tey Ye Tanha’ee Mujhey De Dau

Chori Se Woh Chupke Se, Aankhon Mein Samaaya HaiKhwabon Mein Bhi Aa Aa Kar, Neendon Ko Churaya HaiAangan Mein Yeh Khushbu Ka, Jhonka Sa Jo Aaya HaiWoh Aane Hi Wala Hai, Mausam Ne Bataya HaiTasveer Bani Baithi, Suntii Hi Chali JaoonUs Shokh Ki Baaton Ne, Jaadoo Sa Jagaya HaiKhamosh They Ham Phir Bhi, Kuchh Shor Huaa AisaaDil Mein Tiri Yaadon Ne Ik Hashr Uthaya HaiLo Aaj Isharon Mein Woh Keh Hi Gaya Aakhir‘Main Ne Bhi Tujhe Apne Sapnon Mein Sajaaya HaiRaston Ko Gulon Se To Sab Log Sajaate HenHum Ne Teri Raahon Mein Dil Apna Bichhaaya Hai

udas aankhon se aansu nahi nikalate hainye motiyon ke tarah sipiyon mein palate hainghane dhuen mein farishte bhi aa,nkh malate haintamam raat khajuron ke ped jalate hainmain shah reh nahin, raste ka pathar hunyahan savar bhi paidal utar kar chalte hainunhen kabhi na batana main unaki aankhen hunwo log phul samajhakar mujhe masalate hainye ek ped hai, aa is se milakar ro lain humyahan se tere mere raste badalate hainkai sitaron ko main janata hun bachpan sekaheen bhi jaun mere sath sath chalte hainPoet of  the / Ghazal or Nazam :Bashir Bad

hasrat hai tujhe samane baithe kabhi dekhunmain tujh se mukhatib hun tera hal bhi puchundil mein hai mulaqat ke khvahish ke dabi aagmehandi lage hathon ko chupa kar kahan rakhunjis naam se tune mujhe bachpan se pukaraik umr guzarne pe bhi wo naam na bhuluntu ashk hi ban ke meri aankhon mein sama jamain aaina dekhun to tera aks bhi dekhunpuchun kabhi gunchon se sitaron se hawa setujh se hi magar aa ke tera naam na puchunae meri tamanna ke sitare tu kahan haitu aaye to ye jism shabegam ko na saunpunPoet of the Poem / Ghazal or Nazam :Kishwar Naheed

Wo AankheinMeri Aankhein To Nahi Phir BhiWo Jo Kuch Dekhti HainDekhti Rehti HainMain Bhi Dekhta HoonDekhta Rehta HoonJis Se Rooth Jaati HainMain Us Se Rooth Jaata HoonWo Jis Se Pyaar Karti HainMain Us Se Pyaar Karta HoonWo AankheinMeri Aankhein To Nahi Phir BhiWo Jo Kuch Sochti HainSochti Rehti HainMain Bhi Sochta HoonSochta Rehta HoonJis Dam Muskuraati HainMain Us Dam Muskurata HoonWo Jab Afsurda Hoti HainTo Main Afsurdsa Hota HoonWo AankheinMeri Aankhein Ho Nahi SakteenMagar Phir BhiDiwaana Hoon Jo Un KoChaahta Hoon, Chaahta HoonChaahta Rehta Hoon

Aankhein Hain Jheel Si, Yaan Koi Bhanwar Hai Aur Uspey Bindiyaan Jaise Ghazab Ki Sanwar Hai. Hai Is Qadar Unki Adao.n Mein Khumaari , Ki Jahan Bhi Jate Hain Hota Bas, Ajib Hi Manzar Hai. Jaane Kya Hoga Wo Jab Aayenge Beparda Nazar Abhi Se Hai Haal Yahi Jabki , Woh Andar Hai. Kyun Na Karun Main, Unhe Dekh Tamanna Koi Sarapa Sadgi Bhara Bas , Woh To Samandar Hai. Jab Nahi Hota Unka Khayal To Lagta Hai Yun Ki Jaise DilDil Nahi Mera , Bas Koi Khandar Hai. Sochta Hoon Kitna Khushnashib Hun Main Shihab Ki Khuda Ne Baksha Mujhe Aisa, Hasin Dilbar Hai.

Main Kahoon Na Kahon Ye Aakhian Bata Deti HainGhamEDil Ye Tammam Mehfil Ko Suna Deti HainHo Jati Hian, Teri Yad Main Hum, Youn AksarSookhay Hoye Takya Ko Bhi Bhiga Deti HainJiss Nay Bhi Yahan Isiq Kiya Uss Nay JanaBoolti Khamooshiyan Ye Apnay Main Sama Layti HainYoun Tou Nam Leva Isiq Kay Hian Yahan Per BeHadNibhaya Isay, Woh Hi Janay, Ye Kitna Maza Deti HainYe Imtehan Deti Hian RatEHijr Main Muhabbt KaSooch Hi Sooch Main Ek Darya Baha Deti HainLakh Chaho Gar Tum Chupana Dunya Say, Lali Inn KiDaga Baz Hain Ye, FasanaEDard Poray Aalm Ko Bata Deti Hain

The Beauty Within Your Precious Green EyesBrings This World Darling, To Only You And I.It Brings Comfort, And Ignites My Hearts FireInto A Sea Of Waves, With Passionate Desires.Beyond Your Eyes, A Exquisite Beauty ExistsPlace Your Hand In Mine And Caress My Lips.It’s A Feeling Of Knowing, You Feel True LoveEmotions So Intense Only A Heart Dreams Of.Lost So Deep Within The Beauty Of Your EyesTheir Beautiful As The Stars Above You And I.It’s The Beauty, Within Your Green Eyes I SeeThat Truly Let’s Me Know, You Are All I Need.by bcassata

Kitni Zulfain Khuleen Kitnay Aanchal Uray Chand Ko Kia KhaberKitna Maatam Howa Kitnay Aansoo Bahay Chand Ko Kia KhaberMudatoon Us Ki Khwahish Main Chaltay Rahay Haath Aata NahiChah Main Uski Pairoon Main Hain Aablay Chand Ko Kia KhaberWoh Jo Nikla Nahi Hai Tu Bhataktay Rahay Hain Musafir KayeeAur Lut Tay Rahay Hain Kayee Qaaflay Chand Ko Kia KhaberWoh Tu Apni Hi Nigri Main Mudhosh Hai Kab Se Khamosh HaiKon Raaja Bana Kitnay Sayed Lutay Chand Ko Kia KhaberUsko Daawa Buhat Meethay Pan Ka Wasi Chandni Se KahoUski Kirno Se Kitnay Hi Gher Jal Gaye Chand Ko Kia Khabe

Kitni Zulfain Khuleen Kitnay Aanchal Uray Chand Ko Kia Khaber Kitna Maatam Howa Kitnay Aansoo Bahay Chand Ko Kia Khaber Mudatoon Us Ki Khwahish Main Chaltay Rahay Haath Aata Nahi Chah Main Uski Pairoon Main Hain Aablay Chand Ko Kia Khaber Woh Jo Nikla Nahi Hai Tu Bhataktay Rahay Hain Musafir Kayee Aur Lut Tay Rahay Hain Kayee Qaaflay Chand Ko Kia Khaber Woh Tu Apni Hi Nigri Main Mudhosh Hai Kab Se Khamosh Hai Kon Raaja Bana Kitnay Sayed Lutay Chand Ko Kia Khaber Usko Daawa Buhat Meethay Pan Ka Wasi Chandni Se Kaho Uski Kirno Se Kitnay Hi Gher Jal Gaye Chand Ko Kia Khabe

Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar RakhPaiwastah Rah Shajar Se UmmeedEBahar RakhGham Se Jo Hai TAlluq Usay Ustwaar RakhRakhna Hi Hai Agar To DilESogwaar RakhSarchashma Terey Dil Main Muhabbat Ka Hai AgarSookhay Har Aik Hont Pe Aansoo Ki Dhaar RakhAiy Maut Zindagi Ka Abhi Haath Main Hai HaathThamoonga Tera Haath Bhi, Tu Aitbaar RakhDil Main Naheen Jo Ishq To Kaahe Ki BandagiSajday Main Apnay Sar Ko Agarche Hazaar RakhKaaba Agar Naheen To Isay Butkada BanaDil Main Khuda Ki Yad Ya TasveereYar RakhHamlay Shadeed Honge Anaa Ke Khatiib PhirQaaim Khudi Ke Gird Khuda Ka Hisaar Rakh

Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha KarnaTaron Mein Hansa Karna, Phoolon Mein Khila KarnaJab Se Tumhein Dekha Hai, Jab Se Tumhein Paya HaiKuchh Hosh Nahin Mujhko, Ek Nasha Sa Chhaya HaiAb Baat Jo Karni Ho, Aankhon Se Kaha KarnaAey Kaash Dharkta Dil, Kuchh Der Thahar JaayeYe Raat, Mohabbat Kii, Yunhii Na Guzar JaaeBaqi Hai Abhii Tum Par, Ye Jaan Fidaa KarnaaAankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa KarnaKismat Na Dikhaye Ab, Ghariyaan Hamein Furaqat KiHar Raat Yuunhi Chamake,Taqadir Mohabbat KiAey Chand Sitaaro Tum Mil Jul Ke Duaa KarnaAankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna