Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha KarnaTaron Mein Hansa Karna, Phoolon Mein Khila KarnaJab Se Tumhein Dekha Hai, Jab Se Tumhein Paya HaiKuchh Hosh Nahin Mujhko, Ek Nasha Sa Chhaya HaiAb Baat Jo Karni Ho, Aankhon Se Kaha KarnaAey Kaash Dharkta Dil, Kuchh Der Thahar JaayeYe Raat, Mohabbat Kii, Yunhii Na Guzar JaaeBaqi Hai Abhii Tum Par, Ye Jaan Fidaa KarnaaAankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa KarnaKismat Na Dikhaye Ab, Ghariyaan Hamein Furaqat KiHar Raat Yuunhi Chamake,Taqadir Mohabbat KiAey Chand Sitaaro Tum Mil Jul Ke Duaa KarnaAankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna

Ankhon Ankhon Mein Gujri Hai Yeh RaatAbhi Bhi Shayad Adhuri Hai Ankhon Ki BaatSubha Tak Ka Safar Kuch Yu Teh Kiya HumneBina Chuye Ek Dujhe Ke Sath Kati Hai Yeh RaatThama Hai Ek Dujhe Ko Apni Adaon Se HumneBina Kuch Bole Khamoshi Tordi Hai Sari RaatYeh Jismani Milan Nahi Roohani Mel Hua HaiSath Reh Kar Ek Dujhe Ko Apna Ehsas Diya HaiNa Atta Hai,Na Kabhi Ayega Gujra Hua LamhaTann Ko Nahi Mann Ko Paya Hai Humne Sari RaatTalab Na Mitt Payi Tere Deedar Se JEET KiChahe Ek Nazar Dekhta Raha Teri Surat Sari RaatAnkhon Ankhon Mein Gujri Hai Yeh RaatAbhi Bhi Shayad Adhuri Hai Ankhon Ki Baat…!!!

Dil Ki Baatein Bata Deti Hain, AankheinDharkano Ko Jaga Deti Hain, AankheinDil Pe Chalta Nahi Jadoo, Chehraun Ka KabhiDil Ko To Deewana Bana Deti Hain, AankheinWoh Hum Se Baat Nahi Karte, To Na KareinHaal Sara Unke Dil Ka Suna Deti Hain, AankheinGham Sada Rehta Nahi, Aadmi Ke SaathAshk Bana Kar Chalka Deti Hain, AankheinAata Hai Jab DorEJawani, To AeDostoSunder Sapne Zehan Mein Basa Deti Hain, AankheinMana Ke Neend Aati Hai, Aankhon Hi Ke RaasteMagar Kabhi Kabaar Neend Bhi Uraa Deti Hain, AankheinShukar Hai Rab Ne Ata Ki, Aankhon Ki NeamatHumaare DardOGham Saare Dil Ke, Chupa Deti Hain Aankhein

Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna Taron Mein Hansa Karna, Phoolon Mein Khila Karna Jab Se Tumhein Dekha Hai, Jab Se Tumhein Paya Hai Kuchh Hosh Nahin Mujhko, Ek Nasha Sa Chhaya Hai Ab Baat Jo Karni Ho, Aankhon Se Kaha Karna Aey Kaash Dharkta Dil, Kuchh Der Thahar Jaaye Ye Raat, Mohabbat Kii, Yunhii Na Guzar Jaae Baqi Hai Abhii Tum Par, Ye Jaan Fidaa Karnaa Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna Kismat Na Dikhaye Ab, Ghariyaan Hamein Furaqat Ki Har Raat Yuunhi Chamake,Taqadir Mohabbat Ki Aey Chand Sitaaro Tum Mil Jul Ke Duaa Karna Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna

Kayi Zulm Bhare Raaz Chupaatin Hain Yeh AankheinAiina Dekh Kar Khud Se Dar Jaatin Hain Yeh AankheinShayd Suna Ho Inki Araaish Ka, Toote Sapnon Se Sanwarti HainBheege Aansuon Se Khud Ko Sajaatin Hain Yeh AankheinYun Kahin Dikh Na Jaaye Kitna Dard Basaa Hai InmeinHar Ek Se Nazrein Churaatin Hain Yeh AankheinYeh Tamanna Rehti Hai Dil Mein K Woh Laut AayengeRasta Tak Tak Kar Khud Ko Behlaatin Hain Yeh AankheinBadnaam Ho Gayin Yeh Unki Dewaangi Mein Kho Kar, ParUnki Khaatir Har Bughz Nigaah Seh Jaati Hain Yeh AankheinWoh Nahi Aaya, Khokar Usse Jaane Kaise Yeh Jee Leti HainAakhir Bandh Kyon Nahin Ho Jaatin Warda Teri Yeh Aankhein

aankhen meri talavon se mal jaye to achchahai hasratepabos nikal jaye to achchajo chashm ke benam hon, wo ho kor to bahatarjo dil ke ho bedag, wo jal jaye to achchafurqat mein teri tarenafas sine mein merekanta sa khatakata hai, nikal jaye to achchawo subah ko aaye to karun baten main dopaharaur chahun ke din thoda sa dhal jaye to achchadhal jaye jo din bhi to isi tarah karun shamaur chahun ke gar aj se kal jaye to achchajab kal ho to phir wohi karun kal ke tarah segar aj ka din bhi yun hi tal jaye to achchaalqissa nahi chahata main, jaye wo yan sedil usaka yahin garache bahal jaye to achchaPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ibrahim Zauq

Un Jheel Si Gehri Aankhon MainIk Shaam Kahin Abad To HoUs Jheel Kinaray Pal Do PalIk Khawab Ka Neela Phool KhilayWoh Phool Baha Dain Lehron MainIk Roz Hum Sham DhalayUs Phoolk Behtay Rangon MainJis Waqt Larazta Chand ChalayUswaqt Kahin Un Aankhon MainUs Bisray Palki Yaad To HoUn Jheel Si Gehri Ankhon MainIk Sham Kahin Abad To HoPhir Chahay Umer Samunder KiHer Moj Pareshan Ho JaayPhir Chahay Aankh Dareechay SayHer Khawab Gurezan Ho JaayPhir Chahay Phool Say Chehray PerHer Derd Numayan Ho JaayUs Jheel Kinaray Pal Do PalWoh Roop Nagar Eejad To HoDin Raat K Is Ainay SayWoh Aks Kabhi Azad To HoUn Jheel Si Gehri Aankhon MainIk Sham Kahin Abad To Ho!!!

Yeh Aankhen Bohat Satati HainYaadon Ke Khuwaab Dikhati HainMujhe Saari Raat Jagati HainKab Dil Ke Raaz Chhupati HainPalkon Ke Dareeche Kholti HainKuch Apni Zaban Main Bolti HainBas Apni Baat Manwati HainYEH AANKHEN BOHAT SATATI HAINEk Aan Main Faisla Karti HainYeh Kab Ruswayi Se Darrti HainYeh Ghungroo Baandh Nachati HainHer Waqt Yeh Jaagti Rehti HainEk Khoj Main Bhaagti Rehti HainThak Haar Ke Wapis Aati HainYEH AANKHEN BOHAT SATATI HAINChupke Se Kahin Lad Jaati HaiPhir Khuwabon Se Bhar Jaati HaiJab Toote Shor Machati HaiYeh Royen To Dil Bhi Rota HaiKab In Se Judda Yeh Hota HaiYeh Dil Ko Rog Lagati HaiKyu Pyaar Kiya Pachtati HaiYeh Aankhen Bohat Satati Hain

Bhula do ranj ke baton mein kya haiidhar dekho meri aankhon mein kya haibahut tarik din hai phir bhi dekhoujala chandani raton mein kya hainahi patin jise bedar nazarenkhudaya ye mere khvabon mein kya haiye kya dhundhe chale jati hai duniyatamashasa galikuchon mein kya haihai vahashatsi ye har chehare pe kaisina jane sahamsa nazaron mein kya haiye ik haijansa dariya mein kyon haiye kuch samansa maujon mein kya haizarasa bal hai ik zulfon ka us kevagarna zor zanjiron mein kya haihain khamyaze sururearazu kenishatogam kaho namon mein kya haitumhari deramezi bhi dekhitakalluf lakhanau valon mein kya hai Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shan ul Haq Haqi

Jo Meri Aankhon Se Khuwab DekhoTo Aik Shab Bhi Na So Sako GeK Lakh Chaho Na Hans Sako GeHazar Chaho Na Ro Sako GeK Khuwab Kia Hain, Azab Hain YeMere Dukhon Ki Kitab Hain YeRafaqtain In Main Choteti HainMohabbatain In Main Rothti HainPinapti Hain In Main Wehshatain SiAziatain In Main Photeti HainInhein K Dar Se Khizan Hain JazbeInhein Se Shakhain Si Toteti HainGhamon Ki Bandish Hain Khuwab MereDukhon Ki Barish Hain Khuwab MereUbal Raha Hai Dukhon Ka LawaRahenEAtish Hain Khuwab MereKhial Sare Jhulas Gai HainSulagti Khuwahish Hain Khuwab MereUkharti Sansain Hain Zindagi KiLaho Ki Sazish Hain Khuwab MereJo Meri Aankhon Se Khuwab DekhoTo Aik Shab Bhi Na So Sako Ge

 Jo Meri Aankhon Se Khuwab DekhoTo Aik Shab Bhi Na So Sako GeK Lakh Chaho Na Hans Sako GeHazar Chaho Na Ro Sako GeK Khuwab Kia Hain, Azab Hain YeMere Dukhon Ki Kitab Hain YeRafaqtain In Main Choteti HainMohabbatain In Main Rothti HainPinapti Hain In Main Wehshatain SiAziatain In Main Photeti HainInhein K Dar Se Khizan Hain JazbeInhein Se Shakhain Si Toteti HainGhamon Ki Bandish Hain Khuwab MereDukhon Ki Barish Hain Khuwab MereUbal Raha Hai Dukhon Ka LawaRahenEAtish Hain Khuwab MereKhial Sare Jhulas Gai HainSulagti Khuwahish Hain Khuwab MereUkharti Sansain Hain Zindagi KiLaho Ki Sazish Hain Khuwab MereJo Meri Aankhon Se Khuwab DekhoTo Aik Shab Bhi Na So Sako Ge

Meri Ankon Ke Samandar Men Jalan Kaisi HaiPhir Dilko Tarpne Ki Lagan Kesi HaiBarf Ke Rup Men Dhal Jayege RisteyMujse Pucho Mohabbat Ki Agan Kesi HaiMeri Ankhon Ke Samandar Mein Jalan Kaisi HaiAaj Phir Dil Ko Tarapne Ki Lagan Kaisi HaiAb Kisi Chhat Pe Charagon Ki Qatarein Bhi NahinAb Tere Shehar Ki Galiyon Mein Ghutan Kaisi HaiBaraf Ke Roop Mein Dhal Jayeinge Saare RishteyMujh Se Poochho Muhabbat Ki Agan Kaisi HaiMein Tere Wisal Ki Khuwahish Ko Na Marne DoongiMausamEHijar Ke Lehje Mein Thakan Kaisi HaiRegzaron Mein Jo Banti Rahi Kaanton Ki RidaUs Ki Majboor Si Aankhon Mein Kiran Kaisi HaiMujhe Masoom Si Pagal Larki Pay Taras Ata HaiUsey Dekho To Muhabbat Mein Magan Kaisi Hai

Udas Shaamain,Ujaar Rastay Kabhi Bulaian Tou Luat AnaKisi Ki Aankhon Mein Ratjagay Kay Aazaab Aain Tou Luat AanaAbhi Naeye Wadiyoon,Naeye Manzaroon Mein Reh Lo Magar Meri JaanYeh Saray Ik Aik Kar Kay Jab Tum Ko Choor Jain Tou Laut AnaJo Shaam Dhaltay Hi Apni Apni Panah Gahoon Ko Lautay HainAgar Woh Panchi Koi Dasttan Sunain Tou Laut AnaMein Roz Younhi Hawa Pay Likh Likh Kar Us Ki Janib Ye Bayhajta HoonKay Achay Moosam Agar Paharoon Par Muskurain Tou Laut AnaAgar Andeeroon Mein Choor Kar Tum Ko Bhool Gain Tumharay SathiAur Apni Katir Hi Apnay Apnay Diyay Jalain Tou Laut AnaMeri Woh Batain Tou Jin Pay Hansta Tha Kilkila KarBicharnay Walay Meri Woh Batain Kabhi Rulaian Tou Laut Ana

Udas Shaamain,Ujaar Rastay Kabhi Bulaian Tou Luat Ana Kisi Ki Aankhon Mein Ratjagay Kay Aazaab Aain Tou Luat Aana Abhi Naeye Wadiyoon,Naeye Manzaroon Mein Reh Lo Magar Meri Jaan Yeh Saray Ik Aik Kar Kay Jab Tum Ko Choor Jain Tou Laut Ana Jo Shaam Dhaltay Hi Apni Apni Panah Gahoon Ko Lautay Hain Agar Woh Panchi Koi Dasttan Sunain Tou Laut Ana Mein Roz Younhi Hawa Pay Likh Likh Kar Us Ki Janib Ye Bayhajta Hoon Kay Achay Moosam Agar Paharoon Par Muskurain Tou Laut Ana Agar Andeeroon Mein Choor Kar Tum Ko Bhool Gain Tumharay Sathi Aur Apni Katir Hi Apnay Apnay Diyay Jalain Tou Laut Ana Meri Woh Batain Tou Jin Pay Hansta Tha Kilkila Kar Bicharnay Walay Meri Woh Batain Kabhi Rulaian Tou Laut Ana

Shaam Hote Hee Kyon, Diye Jal Jaate HainKyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate HainTaarikiyo’n Ko Cheerkar, Ye Lau Jagmagaati HaiSehar Hote Hee Kyon, Shamma Dhal Jaati HaiAksar Tanha Raato Mein, Kyon Bebasi Jhalakti HaiKyon Din Khushi Manata Hai, Kyon Raat Udaas Hoti HaIshaam Hote Hi Kyon, Diye Jal Jaate HainKyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate HainInn Waadiyo’n Mein Khudko, Mai Kyon Udaas Paati HoonYe Surile Parinde Bhi, Kyon Udaas Geet Gaate HainSehraa Mein Hoon Mai Tanha, Iss Neele Falak Ke NeecheYe Aasmaa’n Bhi Mujhpar, Kyon Bijliyaa’n Giraate HainShaam Hote Hi Kyon, Diye Jal Jaate HainKyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate Hain