Qeqahay QehqahayRoshni RoshiNazer Ki Zuban Mien Thee ChashniSaray Aaina BhiPasay Aaina BhiAagehi Thee Ya Khud AagehiQehqishan QehqishanJugnoon Say BaniJhilmilati Rida….Khushi Si Khushi TheeNasha Sa NashaWohi Bankpun ThaWohi Thee AadaWohi Hath ThayMakhmali MakhmaliSandliy SandliyMager Un Pay Ub TheeBari Kham SiKisi Aur Nam KiBilbilati Hina…Jeet K Jub Chali Zindagi SamnayRaakh Ka Dheir Thee Zindagi SamnayPoet: Sajid Hadayat(+92 333 4123 685)

Sad Hindi Poetry on Dardey Ishq Bichrey To Dardey Ishq Ka Chara Na Kar SakeYoon Tarqe Aashiqi Bhi Gawara Na Kar SakeVerna Vo Intezaar Me Sadiyaa GuzarteyHum Hi Chale To Unko Ishara Na Kar SakeJo Aatishi Parasti They Vo Bhi Na Jaane KyonApne Hi Ghar Me Aag Gawaraa Na Kar SakeUsko Agar Thi Shehar Ki Gar Rounaqke AgarTanhaiyon Se Hum Bhi Kinara Na Kar SakeKuch Is Tarah Se Usne Bikhera Hume YahanHum Aur Zindagi Me Bharosa Na Kar SakeShare By : Haji Inayat Ali

kya kahun tum se main ke kya hai ishqjan ka rog hai, bala hai ishqishq hi ishq hai jahan dekhosare aalam mein bhar raha hai ishqishq mashuq ishq aashiq haiyani apna hi mubtala hai ishqishq hai tarzotaur ishq ke tainkaheen banda kaheen khuda hai ishqkon maqsad ko ishq bin pahunchaaarzoo ishq va mudda hai ishqkoyi khvahan nahi mohabbat katu kahe jinsenarawa hai ishqmeerji zard hote jate hainkya kaheen tum ne bhi kiya hai ishq?Poet of the poem/ghazal or Nazam: Meer Taqi Mee

Wo Tu Apni Rah Pay He Sada Chaltay RahayDarechay Pay Rakh K Apni Umar Rafta Ki KitabNaay Tofanoon Ko Amad Ka Rasta Naya Datay RahayNa Keh K Un Say Dil Ki BaatHum Ek Bay Naam Kalish Main Mubtila RahayWo Tu Jan K Bi Anjan Bun GaayHum Anjan Khush Fehmi Main Mubtila RahayDil K Baab Band Ker Rakhay HainKub Tak Tanha Koi Chalta Rahay?Sur E Sham Ab Chaman Main Jata NahiKub Tak Koi Tere Rah Main Bheta Rahay?Wo Apni Khushi Ka Qisa Batatay RahayHum Apni Zindagi Ujarnay Pay Khamosh Rahay!

Zakhm Tha Zakham Ka Nishan Bhi ThaDard Ka Apna Ik Makan Bhi ThaDost Tha Mehrban Bhi ThaLe Raha Mera Imtihan Bhi ThaSheyron Men Gazab Ufan Bhi ThaKarz Men Doobta Kisan Bhi ThaKoyi Kaam Aayaa Kb Museebat MenKahne Ko Apna Khandan Bhi ThaMr Ke Dozakh Mila To Samjhe HumVakyi Doosaraa Zahan Bhi ThaUmr Bhr Saath Nibhana Tha JinhenFasalaa Unke Drmiyan Bhi ThaAas Thi Jeene Ki Abhi BaakiRastemen Magar Masaan Bhi ThaKhudkushi `Shyam’ Kr Li Kyon TooneTeri Kismat Men Aasmaan Bhi Tha..!!!

fitana phir aj uthane ko hai sar lagata haikhoon hi khoon mujhe rangesahar lagata haiman lun kaise ki main aib sarapa hun faqatmere ahabab ka ye husnenazar lagata haikal jise phunka tha ye kah ki ki dushman ka hai gharsochata hun to wo aj apana hi ghar lagata haiehatiyatan koi dar phod lain divar mein abshor badhata hua kuch janibedar lagata haiek daravaza hai har samt mein khulane ki liyehon na ho ye to mujhe shekh ka ghar lagata haiPoet of the poem/ghazal or Nazam: Anand Narain Mulla

aankh se dur na ho dil se utar jayegawaqt ka kya hai guzarata hai guzar jayegaitna manus na ho khilvategam se apanitu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jayegatum sarerahevafa dekhte rah jaogeaur wo bamerafaqat se utar jayegazindagi teri ata hai to ye janevalateri bakhshish teri dahaliz pe dhar jayegadubate dubate kashti to ochala de dunmain nahi koi to sahil pe utar jayegazabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka ‘faraz’zalim ab ke bhi na royega to mar jayega Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz

Dil Ke Dariyaa Ko Kisii Roz Utar Jaanaa HaiItanaa Besimt Na Chal Laut Ke Ghar Jaanaa HaiUs Tak Aatii Hai To Har Chiiz Thahar Jaatii HaiJaise Paanaa Hii Use Asl Men Mar Jaanaa HaiBol Ai ShaamESafar RangERihaa_Ii Kyaa HaiDil Ko Rukanaa Hai Ki Taaron Men Thahar Jaanaa HaiKaun Ubharate Hue Mahataab Kaa Rastaa RokeUs Ko Har Taur SuuEDashtESahar Jaanaa HaiMain Khilaa Huun To Isii Khaak Men Milanaa Hai MujheVo To Khushbuu Hai Use Agale Nagar Jaanaa HaiVo Tere Husn Kaa Jaaduu Ho Ke Meraa GamEDilHar Musaafir Ko Isii Ghaat Utar Jaanaa Hai

Dard Dil Se Nikal Raha Hei KyunMere Jeevan Ki Hai,Ek Abhilasha Poori Karna Chahu, Mai Sab Ki AashaSabke Sapno Ko Ker SakaarLaau Unke Jeevan Main Khushiyao.N Ki BahaarHer Insaan Ko Sahii Raah DikhauBurayee Se Sab Ko BachauBanna Hai Mujhe Safal InsaanJismein Ho Jeevan Ka Sara GyaanBade, Bujurk Ka Karu SammaanKabhi Na Ho, Mere Jeevan Ka ApmaanGurujano Ko Samman, Choto.N Ko PyaarYahii Ho Mere Jeevan Ka SaarAtyachaar, Ghotala Ka Kare AnthKerke Her Insaan Ki SevaMite Sab Ke Mann Se, Swarth Nafrath Ki BhavnaYahii Ho Hum Sab Ke Jeevan Ki Abhilasha

Dard Ki Raah HaiHar Taraf Hai Andhere Koi Raasta Bhi Nahin?Hum Ne Apno Se Hi Chot Aisi Khai HaiBaat Gairo Ki Hoti To Dil Yeh Tadpta Bhi Nahin?Robaro Baitha Hai Koi Apna Magar Apna Bhi Nahin?Jiski Khatir Hum Aaye The Akele Yaha TakRaaste Bhar Main Uska Koi Nishan Bhi Nahin?Ajnabee Hai Yeh Shair Ajnabee Hai Yeh LogMera Apna Jo Yaha Chopa Hai WO Dikhta Bhi Nahin?Hum Akele Chale To Koi Saath Na ThaTeri Hasrat Kare Ruswa MujheRaaz Aisa Hai Ke Chupta Bhi Nahin?Itne Gham Sine Main Hum Ne Chupai Hai (Naam)Ke Ab Aasoo Bhi Sukha Hai Jo Barasta Bhi Nahin?

kya ye bhi zindagi hai ki rahat kabhi na hoaisi bhi to kisi se mohabbat kabhi na howada zarur karte hain aate nahi kabhiphir ye bhi chahate hain shikayat kabhi na hoshamevisal bhi ye tagaful ye berukhiteri raza hai mujhko masarrat kabhi na hoahabab ne diye hain mujhe kis tarah farebmujhasa bhi koi sada tabiyat kabhi na holab to ye kah rahe hain ke uth, badh ke choom leaankhon ka ye ishara ke jurr’at kabhi na hodil chahata hai phir wohi fursat ke raat dinmujhko to tere khayal se fursat kabhi na hoPoet of the poem/ghazal or Nazam: Krishna Mohan

ShabEHizr Ka Jhagda Kya Batain SahebBas Kaam Aa Gayee Apki Duaien SahebDiwaar Zindgi Ki Uski Yadon Pe Tiki HaiBhool Ke Din Raat Ki Eentein Kyu Girayen SahibMai.N Hosh Mai Hi Nahi Hun Mujhse Na PoochoDil Hoga Yahi Kahin DayeinBayein SahebDikhne Laga Ab Mujhe Pariyon Ka HuzoomAap Aage Se Mere Botal Na Hatayein SahebJo Zahar Zindgi Mout Tak Asaan KareSagar Nahi To Chullu Main Hi Pilayen SahebNa Murge,Na Suraj Na Aarti Apni SaharUtha De Jab Kowey Karne Lage Kayen Kayen SahebHindu Mulla Ki Dunia Se Nikala Ja ChukaAap ‘Janumanu’ Pe Ye Tohmat Na Lagayen Sahe

kyon hijr ke shikave karta hai kyon dard ke rone rota haiab ishq kiya hai to sabr bhi kar is mein to yahi kuch hota haiaagazemusibat hota hai apne hi dil ke shararat seaankhon mein phul khilata hai talavon mein kanten bota haiahabab ka shikwa kya kijiye khud zahir va batin ek nahilab upar upar hanste hain dil andar andar rota haimALLAHon ko ilzam na do tum sahil wale kya janonye tufan kon uthta hai ye kishti kon dubota haikya jane kya ye khoyega kya jane kya ye payegamandir ka pujari jagata hai masjid ka namazi sota haiPoet of the poem/ghazal or Nazam: Hafeez Jullundhri

gul tera rang chura laye hain gulzaron meinjal raha hun bhari barsat ke baucharon meinmujh se katara ke nikal ja magar ae janehayadil ke lau dekh raha hun tere rukhasaron meinhusnebeganaeehasasejamal acha haigunche khilate hain to bik jate hain bazaron meinzikr karte hain tera mujh se baunavanejafacharagar phul piro laye hain talvaron meinzakhm chup sakate hain lekin mujhe fan ke saugaundhgham ke daulat bhi hai shamil mere shahakaron meinmujh ko nafarat se nahi pyar se maslub karomain to shamil hun mohabbat ke gunahgaron meinPoet of the poem/ghazal or Nazam: Ahmed Nadeem Qasmi

meri teri nigah mein jo lakh intazar hainjo mere tere tan badan mein lakh dil figar hainjo meri teri ungaliyon ke behisi se sab qalam nazar hainjo mere tere shahar ke har ik gali meinmere tere naqshepa ke benishan mazar hainjo meri teri raat ke sitare zakhm zakhm hainjo meri teri subah ke gulab chak chak hainye zakhm sare bedava ye chak sare berafukisi pe rakh chand ke kisi pe os ka lahuye hain bhi ya nahi bataye hai ki mahaz jal haimere tumhare ankabutevaham ka buna huajo hai to is ka kya karennahi hai to bhi kya karenbata, bata, bata, bataPoet of the poem/ghazal or Nazam: Faiz Ahmed Faiz