Is Anjnabi Duniya Meinakela Ek Khawaab HuSawaalo Se Khafa Chhota As Jawaab HuJo Na Samjh Sakeunke Liye “KOUN”Jo Samajh Chukeunke Liye Kitaab HuDuniya Ki Nazar Meinjaane Kyu Chubha AsSabse Nashili Aur Badnaam Sharaab HuSar Uthakar Dekhowo Dekh Raha Hai TumkoJisko Na Dekha Usnewo Chamakta Aaftab HuAankh Se Dekhogeto Khush PaogeDil Se Poochogeto Dard Ka Sailaab Hu

Pathar Bana Dia Mujahy Rone Nahi DiaDamaan Bhi Tere Gham Ne Bighone Nahi DiaTanhaiyan Tumhara Pata Poochti RahainShaab Bhar Tumhari yaad Ne Sone Nahi DiaAnkhon Mein Akar Beth Gai Annsoon Ki LeharPalkon PeKoi Khoawab Perone Nahi DiaDil Ko Tumhare Naam Ke Ansoo Aziz ThayDuniya Ka Dard Dil Mein Samone Nahi DiyaYoon Uski Yaad Chali Haath Thaam KeMele Mein Is Jahan Ke Khone Nahi Diya

kuch aise ghao bhi hote hainjinhen zakhmi aap nahi dhotebin roye huye aansuon ke tarahsine mein chupa ke rakhte hainaur sari umr nahi roteninden bhi muhaiya hoti hainsapane bhi dur nahi hoteq phir bhi jagate rehte hainq sari raat nahi soteab kis se kahen ae janevafaye ahalevafa kis aag mein jalate rehte hainq bujh ke rakh nahi hotePoet of the poem/ghazal or Nazam: Amjad Islam Amjad

Jo NaMumkin Hai Chaahta Kyun HoonTujhse Hi Tujhko Maangta Kyun HoonKoi Mujhpe Bhi Jaan Nisaar KareAise Armaan Paalta Kyun HoonDil Toh Veeraan Hai Ek Zamaane SeAaj Bhi Issme Jhaankta Kyun HoonApni Tanhayee Se Gale Lag KarRaat Aankhon Me KaatTa Kyun HoonZikr Kaanton Ka Hai Kubool MujheBaat Phoolon Ki Taalta Kyun HoonKar Ke Taqseem Sab Me Khushiyon KoSare Gham Khud SanbhalTa Kyun Hoon

kya khabar thi ke main is darja badal jaungatujh ko kho dunga tere gham se sambhal jaungaajanabi ban ke milunga main tujhe mahafil meintu ne chedi bhi to main baat badal jaungadhundh paye na jahan yaad bhi teri mujh koaise jangal mein kisi roz nikal jaungazid mein aaye hue masum se bache ke tarahkhud hi kashti ko dubone pe machal jaungaPoet of the poem/ghazal or Nazam:  Farhat Shahzad

kya khabar thi is tarah se wo juda ho jayegakhwab mein bhi us ka milana khwab sa ho jayegazindagi thi qaid hamen kya nikaloge us semaut jab aa jayegi to khud riha ho jayegadost banakar us ko chaha, ye kabhi socha na thadosti hi dosti mein wo khuda ho jayegaus ka jalva hoga kya jisaka ke parda nur haijo bhi us ko dekh lega wo fida ho jayegaPoet of the poem/ghazal or Nazam: Rustom Sehgal Wafa

Kabhi Aansoo Kabhi Khushi DekhiHumne Majboori Aur Bekasi DekhiChand Lamhaat Jeene Ke LiyeBechke Apni Zindagi DekhiAndhere Agar Ghir Aaye HoTere Pehloo Mai Raushni DekhiTeri Naraazgi Ko Kya SamjheinHumne Khud Apni Bebasi DekhiHum Kyon Yahan Badnaam HaiZamaane Ki Humne Dillagi DekhiWaadon Par Bharosa Abh Kyon RaheHumne Azeezon Ki WadaKhilaafi DekhiEk Hum Hai Jo Lut Gaye TanhaVarna Duniya Bhar Ki Dosti Dekhi

Kya Kahen Hum Kaise Tujhse Door Ho GayeHaalaat Se, Kuch Khud Se Majboor Ho GayeMohhabbat Rula Deti Hai, Kab Ye Maana ThaApne Dil Ke Afsaane Wohi Dastoor Ho GayeManzil Jise Samjha Bana Wo Meel Ka PatharNayi Manzil, Naye Raaste Manzoor Ho GayeHadd Se Barh Jaaye Jo Ghum, Deta Nahin DardMuskura Rahe Hain, Aise Hum Ranjoor Ho GayeDil Tera Reza Reza Hai, Kaise Sambhale TujhkoKhudaya Humse Kaise Yeh Qusoor Ho Gaye !!!

kya sarokar ab kisi se mujhevasta tha to tha tujhi se mujhebehisi ka bhi ab nahi ehasaskya hua teri berukhi se mujhemaut ke aarzoo bhi kar dekhunkya ummiden thi zindagi se mujhephir kisi par na aitabar aayeyun utaro na apne jee se mujhetera gham bhi na ho to kya jinakuch tasalli hai dard hi se mujhekar gaye kis qadar tabah ‘zia’dushman, andazedosti se mujhePoet of the poem/ghazal or Nazam: Zia Jalandhari

apni dhun mein rahata hunmain bhi tere jaisa huno pichali rut ki sathiab ki baras main tanha hunteri gali mein sara dindukh ki kankar chunata hunmujh se aankh milaye konmain tera aaina hunmera diya jalaye konmain tera khali kamara hunjtu jivan ki bhari galimain jangal ka rasta hunapni lahar hai apana rogdariya hun aur pyasa hunaati rut mujhe royegijati rut ka jhonka hun Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi

Kal Raat Jane Kya HuaKuch Dair Pehlay Neend SeKuch Ashk Milnay Aa GayeKuch Khuwab Bhi Tootay HuayKuch Log Bhi Bhoolay HuayKuch Gard Main Lipti HuiKuch Bay Panah Pheli HuiKuch Khol Main Simti HuiBey Rabt Si Sochain LyeBhooli Hui Baatein LyeIk Shaks Ki Yaadain LyePhr Dair Tak Jagey RheySochon Mei Gum Bethey RheyUngli Say Thanday Farsh PerIk Naam Bus Likhtey RheyKal Raat Bhi Wo Raat ThiKuch Dair Pehle Neend SeHum Dair Tak Rotey Rahey

Hothon Pe Hasi Dekh Li,Dil Ke Andar Nahi Dekha,Yaaro Ne Mere Gam Ka Samundar Nahi Dekha,Kitni Haseen Hai Duniya Ye Dekha,Hai Apne Mar Mar Ke Jeenewalo Ka Manzar Nahi Dekha,Sheeshe Ka Makaan Tumne Bana To Liya Ae Dost,Lekin Waqt Ke Haath Ka Pathar Nahi Dekha,Rishto Ke Tootne Ka Dard Aap Kya Samjhe,Vo Lamha Kabhi Aapne Jee Kar Nahi Dekha,Bhatke Roshni Ki Talaash Mein Na Jaane,Kaha Kaha Afsos Ki Apni Rooh Ke Andar Nahi Dekha…!!!

kya umeed kare hum un se jin ko wafa malum nahigham dena malum hai lekin gham ke dawa malum nahijin ke gali mein umr ganva di jivan bhar hairan rahepas bhi aake pas na aaye jan ke bhi anjan rahekon si aakhir ke thi hum ne aisi khata malum nahiae mere pagal armanon jhuthe bandhan tod bhi doae meri zakhmi ummidon dil ka daman chod bhi dotum ko abhi is nagari mein jine ke saza malum nahiPoet of the poem/ghazal or Nazam: Zafar Gorakhpuri

guzri dinon ke yaad barasati ghata lageguzarun jo us gali se to thandi hawa lagemehaman banke aaye kisi roz agar wo shakhsus roz bin sajaye mera ghar saja lagemain is liye manata nahi vasl ke khushimere raqib ke na mujhe baddua lagewo qahat dosti ka pada hai ki in dinonjo muskura ke baat kare aashna lagetarkevafa ke bad ye us ke ada ‘qateel’mujhko sataye koi to us ko bura lagePoet of the poem/ghazal or Nazam: Qateel Shifai

chahat ka ek mitha mitha dard jagane sham dhaleteri yaden aa jati hain mujhako rulane sham dhaleteri zulfen in kandhon par tera chehara hathon meinmain ne bhi dekhe hain kitane khvab suhane sham dhalehar din hum se wada karake yun hi agar tadapaogeik din yun hi ho jayenge hum bhi divane sham dhaledin ke ujale mein to mana lun lakh yatan se bahala lunlekin dil ka pagal panchi ek na mane sham dhalePoet of the poem/ghazal or nazam : Hasan Imam