chand ke sath kai dard purane nikalekitane gam the jo tere gam ke bahane nikalefasle gul aayi phir ik bar asiranevafaapne hi khun ke dariya mein nahane nikalehijr ki chot ajab sangshikan hoti haidil ke befaiz zaminon se khazane nikaleumr guzari hai shabetar mein aankhen malatekis ufaq se mera khurshid na jane nikalekueqatil mein chale jaise shahidon ka juluskhvab yun bhigati aankhon ko sajane nikaledil ne ik int se tamir kiya taj mahaltu ne ik bat kahi lakh fasane nikaledashte tanhaiehijran mein khada sochata hunhaye kya log mera sath nibhane nikalemain ne ‘amjad’ use bevasta dekha hi nahiwo to khushbu mein bhi aahat ke bahane nikalePoet of the poem/ghazal or nazam : Amjad Islam Amjad

Jahan Phoolon Ko Khilna Tha Waheen Khiltay Tu Acha ThaTum Hi Ko Hum Ne Chaha Tha Tum Hi Miltay Tu Acha ThaTumhain Jitna Bhulaya Hai Tumhari Yaad Aayee HaiBahraENo Jo Aayee Hai, Wohi Khushbo Bhi Layee HaiTumharay Lab Meri Khater Hiltay Tu Acha ThaTum Hi Ko Ham Ne Chaha Tha Tumhi Miltay Tu Acha ThaMila Hai Lutf Bhi Ham Ko Haseen Yaadoon Ki Jhilmal MainKati Hai Zindagitum Bin, Mager Kami Si Hai Dil MainAger Aatay Tu Acha Tha, Ager Miltay Tu Acha ThaTum Hi Ko Ham Ne Chaha Tha Tum Hi Miltay Tu Acha ThaKoi Aa Ker Humain Poochay Tumhain Kaisay Bhulaya HaiTumharay Khat Ko Ashkoon Se ShabEGham Main Jalaya HaiHazaroon Gham Aisay Hi, Ager Miltay Tu Acha ThaTum Hi Ko Hum Ne Chaha Hai Tum Hi Miltay Tu Acha Tha

Dohndata hai adam unhen abb kia, Wo to dil main samae bethe hain.

Tujh se bharr kar koi azaab nahi, Aey ishq tera koi jawaab nahi..

Yakeenan mojzaa dikhaaye gi ab, Mohabbat ishq ki dehleez per hai..

Raah par chairra tha jis ne aap ko, Woh meri deewangi thi main na tha..

Ana parast hy itna ke baat sy pehly wo uth ke band meri har kitab kar dy ga

Saje hoe hain dariche pe phol baili k, Bahot raha ha tera intazar tere bad.

Ishq woh peer hai ke jis ka mureed, Ba-khuda!! na ghar ka hai na ghaat ka..

Yeh sach hai ke wo phool he na khushbo Magar phir b meri hayat ko mehka raha hey

Rah e wafa me ye andaz kar lia hai sadaf, Guman na ho to yakeen rasta banata hai.

Tere baghair guzarta nahin tha ik pal bhi, Tere beghair magar zindagi guzari hai.

Tery Dil Main Meri Sansoo Ko Panah Mil JayeTery Ishq Main Meri Jaan Fana Hoo Jaye

Zara sa ishaq ka bhi us me dakhal hai warna, Koi haseen mukamal haseen nahin hota.

Khud pe beeti to rote ho, sisaskte ho, Woh jo hum ne kiya tha, kya ishq nahi tha??