Yun phir raha hai kaanch ka peikar liye howey, Ghafil ko gumaan hai key pathar naa aye ga..

dl kay phaphoolay jal uthay seenay ka daagh say is ghar ko aag lag gayee ghar k charagh say

Yaad aati hai jo marhoom tamanna’on ki Bhool jata hun k mehroom tamanna hun mein . . !

Humien bhi neend ajaye gi hum bhi so hi jayen gey, Abhi be qarari hai sitaro tum to so jao..

Sunaa hai ab kisi se wafaa kar raha hai woh, Aye zindagi khushi se kahin mar na jaaon main..

Yun kis tarha kattay ga karri dhoop ka safar? Sir per khayal-e-yaar ki chaadar hi lay lain . !

Humen bhi aa para hai doston se kaam kuch yaini, Hamare doston k lie be wafa hone ka waqt aea.

Hosla tujh ko na tha mujh sey juda honay ka.! Warna kajal teri ankh’on ka na phela hota..

Ye almiya hai mery ghar k paasban’on ka Parry jo wakt tou apas mein larrny lagty hain . !

Ashq Ankhoon Main Meri Dekh Kay Rotay Kiyon Ho Dil Bar Aata Hai To Pher Mujh Ko Rolatay Kiyon Ho

Shayed ik ye bhi muhabbat ka atal qanoon hai.. Dushmani shidat sey ho jati hai yaraney key bad.!

Meri Aankho?n K Jaadu Se Tum Na-waqif Ho Main Usay Pagal Kr Deta Hoon Jis Pe Mujhy Pyar Aa Jaye ?

Naslo’n ka fasila hai mere un ke darmiyaan, Iss waqt jin buto’n se mohabat huyi mujhe..

Sadiyaan hain ke guzri hi chali jati hain Nazish, Lamhey hain ke ik umar se chup chaap kharre hain..

Yeh kya ke tujhe bhi hai zamaney se shikayat, Yeh kya ke teri aankh bhi pur’num hai meri jaan..