Utha kar choom li hain chand murjhayi huyi kaliyan, Na tum aye tou yoon jashn-e-baharan karliya mene..

Na Dawa miley na duaa miley tere dil men dard utha karey Tu jo mout ki kare aarzoo teri umr aur draaz ho

Ye charagh-e-anjuman to hain bus aik shab k mehmaan To jala wo shama ae dil! jo bujhy na kabhi jal sakay!

Ye fakhar tu hasil hai, buray hain key bhalay hain, do chaar qadam hum bhi teray sath chalain hain…

Abhi to khushk bohat hai maosam barish ho to sochien gey, Hum ney apney armano ko kis matti me bona hai..

Main Apne Aap Ko Adhura Sa Mehsoos Kerti Hoon Jane Kon Chor Gaya Hai Mujhe Tameer Karte Karte…!!!!!

Yehi hai naa tumhain hum sey bichar janay ki jaldi hai, Kabhi milna tumharay maslay ka hal nikalain gaye..

Tere Pyaar Bhari Aankhon Mein Aansoo Achche Nahin Lagte Chaahe Jitnaa Bhi Roye But Kabhi Sachche Nahin Lagte

Hamein koi tum sa mil jaye.. Na mumkin sahi lakin.. Tumhe bhi koi humsa miljaye.. Bara Mushkil sa lagta hai..

Ab din main kaif hai naa koi shaam hi main rang, her shey sey es key jatay hi lazat chali gai.. Zia ur rehman.

Wafa ka naam mat lo yaaron.. Wafa dil ko dukhati hai.. Wafa ka naam leyne se.. Humien ek bewafa ki yaad aati hai..

Ik umar ka sathi choota hai muddat ka sahara toota hai, Dil thehartey thehartey thehrey ga sabar atey atey aye ga..

Woh kabhi aankh bhi jhapkey to larzz* jata hoon main, Mujh ko us se bhi zeyada hai zaroorat uss ki.. (larzz;shiver)

Pather k khuda pather k sanam ,pather k hi insan paye hain Tum shehr-e-muhabbat khty ho,hum jan bacha kr ay hain..!

Ak bar meri simt bhi uthi thein wo nazrain, Ik shab mere aangan main bhi utray they sitaray.. (Ahmed zagher sadique)