Aanchal se mera khoon utarta bhi to kese, Woh kar ke mujhe qatal mukarta bhi to kese, Yaadon ki hawaa aankh se takraa ke jo guzri, Baadal ne barasnaa tha theherta bhi to kese, Jo waqt ke saath aur bhi ho jata hai gehra, Woh zakham-e-nihaa’n bharta bhi to kese, Ambar bhi bhulaa deta hai tootay huye taarey, Main kya hoon woh yaad mujhe rakhta bhi to kese, Nadaan they hameen kafan sar per baandh ke aaye, Bedard woh jaan se guzarta bhi to kese..

Hum toot bhi jatey hain tu charchs nahi kartey. Dukh dard bhi sehtey hain tu tamasha nahi kartey. Hum apne mafadat ki takmil ki khatir kisi shakhs k jazbaat sy khaila nahi kartey. Hum ko koi gila hy tu khud apne dil sy hy. Auron py hum ilzaam tarasha nahi kartey. Matlab paraston k jo aadi nahi hotey. Wo haath mila k kabhi chora nahi kartey. Kuch is tarha k log bhi mil jaatey hain aksar Hamain jo pyaar kartey hain magar pyaar k ?QABIL? huwa nahi kartey.

Kiya Baat Kahon Un Ankhoon Ke Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon Woh Ankhain Jheel Se Ankhain Hain Jin Main Doob Key Rooz Ubharti Hoon Mujhey Dekhney Key Liye Uthte Hain Miltey Hi Nazar Woh Jhukte Hain Sarey Jahan Main Aise Ankhain Nahi Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon In Ankhoon Main Koi Ansoo Na Aye Koi Kabhi Koi Gham Na Pass Aye Koi Sada Muskurate Rahain Yeh Ankhain Har Dam Yeh DUA Main Karti Hoon Kiya Baat Hai Un Ankhoon Ke Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon

tumhary na honey sey kuch bi nahin badla, ye soraj bi wahan sey niklta hay asman pey tarey bi chamktey hain or chand ki chandni bi hoti hay hawa bi chalti hay darya bi behtay hain phool bi khiltey hain in main kushbo bi hoti hay????lakin??? na janey kiown tumharey na honey se har cheez adhori si lagti hay har subha shamm si lagti hay har muskan odas si lagti hay har mehfil anjan si lagti hay har darkhan bejaan si lagti hay such to ye hay k sari dunia ab hum ko weran si lagti hay

Ye dard mit gea to pher! Yew zakham sil gea to pher! Bechar k Sochta hon mein! Wo pher se mil gea to pher! Main Tiyliyon k Shehr mein Rohoon, to mujh ko fikr hy! Wo phool jo khela nahi, Wo phool khil gea to pher! Tumhain bhi kuch nahi mila, Mujhe bhi kuch nahi mila! Tamam umer k lea, ye dard mil gae to pher! Main is liye to Aaj tak, Sawal bhi na kr saka! Agar mere sawal ka, jawab mil gea to pher! Ye theek hy k louit kr, Mere he DIL aao gy! Magar ye soch lo zara! ?BADAL YE DIL GEA TO PHER?

jo beeti hai use dhurane main kuch waqat lage ga. es ghum ko ek yaad bnane main kuch waqat lage ga. naneed to ane ko thi per dil pachle qase le batha. ub khud ko be waqat sulane main kuch waqat lage ga. us ka sath ub tanhai ko kerta hai or zeyda. per yeh baat samjhane main kuch waqat lage ga. akhar humein bhi loot ker ek din gahar jana hai. layken itni door se ane main kuch waqat tu lage ga. itni jaldi kua hai ?sagar? tum ko wapais jane ki. kaam yeh dunya k nabtane main kuch waqat tu lage ga.

ye muhabbat bi ajeeb hai dosto kaisey kheel khilati hay khabi hans kar khusian dey kabi gam main rulati hay kabi karay salam jukh kar kabi nazer sey girati hay kabi basaye mun main apney kabi kude sanson main sama jati hay kabi to dey tasali dil ko kabi dil ko tarpati hy kabi bachay kanton sey itna kabi phoolon sey zakham lagati hay akhir khawbon khialon main kewn mun ka chain churati hay kabi banay kisi ko apna kabi apnon ko thukarati hay na karna itni wafa amjad ab to wafa bi khata kehlati hay

Raat k kisi lamhe jab tumhari yaad aye.. To batao mujh ko mein kia karon??? Tumhain methi nendia se jaga doon?? Ya tumhare sene py sar rakh doon?? Tumhari gehri band Aankhoon ko kholun!! Aur un mein sama jaoon?? Ya tumhain bina Aankhain jhapkae dekhta jaon?? K kahin ye khuwab toot na jae? K tumhara sath choth na jae.. SUNO !!!!!!!!!!!!! Mujhe tumhare sath guzra hoa ek lamha bhi bhulana gawara nahe?.. SUNO!!!!!!!!! Utho aur aik bar mujhe Aankh bhar k daikho??? Or mujh ko koho??.. K tum sirf mere ho??

sauda hamara kabhi bazaar tak nahi pohncha ishq tha jo kabhi izhaar tak Nahi pohncha yun tu guftagoon bohut huwe unse phir bhi silsila kabhi yeh pyaar tak nahi pohncha jaane kaise ho gaya waakif tamaam shehar daastan-e-ishq yun tu kabhi akhbaar tak nahi pohncha shartein ek dusare ki manzoor thi yun tu par masauda hamara kabhi qaraar tak nahi pohncha gahrayi dosti main naapta bhi kaise rishta mamara kabhi taqraar tak nahi pohncha ana-a meri mujhe izazat nahi deti faqat isliye zaidi darbar tak nahi pohncha

Jaanti hoon tumse bohot pyaar kerti hoon,, Lekin kehne se dartii hoon. jaanti hoon tum sirf mere ho fir kyun tumhe khone se dartii hoon,, jaantii hoon yeh duniya ek dhoka hai fir b iss mein jeeti hoon? janti hoon tumhare paas mere liye waqt nahi fir b tumhara intezaar kerti hoon.. janti hoon tum bewafa ho fir b wafa ki talabgaar hoon,,, janti hoon tumhe khudse zyada chahti hoon,,, lekin halaat k aage majboor hoon.. janti hoon tumhare liye khoob roti hoon,, lekin in nam ankho ko sab se chupa k rakhti hoon..

Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardoon, Teri hi Aankhon ka Jaam Tere Naam kardoon, Main Doob jaoon Teri in Jheel si Gehri Aankhon mai, Phir apni Barbadi ka ilzam Tere Naam kar doon, Mai apni Rooh ko Tere Wajood mai bhardoon, Phir apni Zaat apna her Payam Tere Naam kardoon, Tuu Mujhey Mohabbat ka Agaaz de Sanam, Mai Apne Pyaar ka Anjaam Tere Naam kardoon, Mohabbaton ke Qaseeday likhoon Teri Sanaa mai, Hazaron Pyaar ke Peghaam Tere Naam kardoon, Ho jiska Zikar Mohabbat ki her kahani mai, Ek aisa Pyaar ka Peghaam Tere Naam kardoon??.

tum kasi muhabat karte ho? tu jahan bhi beath k jate ho. jis cheez ko hath lagate ho. main wohain per bathi rahti hun. us cheez ko chooti rahti hun. main asi muhabat karti hun. tum kasi muhabat karte ho? tum jis se hans kar milte ho. main usko dost bnaati hun. tum jis raaste pe chalte ho. main us raste pe aa jati hun. main asi muhabat karti hun. tum kasi muhabat karte ho. kuch khuwab sajha kar aankhon main. palkon se moti chunti hun. tum se milne julne k. kitne hi bahane rakhti hun. main asi muhabat karti hun. tum kasi muhabat karte ho.

Suna Hai K Barish Usey Bhi Pasand Hai Woh Bhi Meri Terhan Barasti Bondon Ko Hathon Mein Sameit Leti Hai ?. Suna Hai Phool Usey Bhi Pasand Hai Woh Bhi Meri Terhan Ghanton Pholon Se Batein Kerti Rehti Hai ?.. Suna Hai K Chand Usey Bhi Aacha Lagta Hai Woh Bhi Meri Terhan Raat Raat Bher Usey Takti Rehti Hai ?. Suna Hai Tanhaee Usey Bhi Bhati Hai Woh Bhi Meri Terhan Per Woh Tanha Baith Ker Kis Ko Sochti Hai Sari Batein Sachi Hein Magar Yeh Bhi Sach Hai ! Mein Jo Us K Barey Mein Her Baat Ki Khabbar Rakhta Hon Yeh Bhi Janta Hoon K Us Ki Soochon Ka Mehwar Mein Nahi ??!!!

Kabhi zindagi ka naam he muhabbat. Kabhi moot ka pegham he muhabbat. Kabhi muhabbat se milti he khushi. Kabhi gham ki shaam he muhabbat. Kabhi aansyon ka rela he muhabbat. Kabhi hansi ka jaam he muhabbat. Kabhi he muhabbat dil ki jalan. Kabhi dil ka aaraam he muhabbat. Kabhi muhabbat he milan ka roop. Kabhi tanhai ki tarhah benaam he muhabbat. Kabhi he muhabbat shahnaiyon ki garhi. Kabhi ruswai ka anjaam he muhabbat. Kabhi muhabbat se he zamane me izzat. Kabhi besharmi ka ilzam he muhabbat. Kabhi muhabbat he benaam zindagi. Kabhi zindagi kehti he mera naam he muhbbat.

Kitni Zulfain Khuleen Kitnay Aanchal Uray Chand Ko Kia Khaber Kitna Maatam Howa Kitnay Aansoo Bahay Chand Ko Kia Khaber Mudatoon Us Ki Khwahish Main Chaltay Rahay Haath Aata Nahi Chah Main Uski Pairoon Main Hain Aablay Chand Ko Kia Khaber Woh Jo Nikla Nahi Hai Tu Bhataktay Rahay Hain Musafir Kayee Aur Lut Tay Rahay Hain Kayee Qaaflay Chand Ko Kia Khaber Woh Tu Apni Hi Nigri Main Mudhosh Hai Kab Se Khamosh Hai Kon Raaja Bana Kitnay Sayed Lutay Chand Ko Kia Khaber Usko Daawa Buhat Meethay Pan Ka Wasi Chandni Se Kaho Uski Kirno Se Kitnay Hi Gher Jal Gaye Chand Ko Kia Khabe