TERRI ANKHON MEIN DOBNAY KO DIL KERTA HAIY, AISA LUGTA HAIY ES MEIN DOBNAY KAY BADH HUM PER NA JEE PAIN GAY, MAHBOOB KI ANKHON MEIN JHANKTAIN HAIN, PATA CHALTA HAI ES MEIN KITNI GHARAHI HAI. UB IN SAI DOR RHANAY KA DIL NAHI KERTA, ALLAH JALD HI SHADI KAY RISTAY MEIN HUM KO BANDH DAI.

Bohat umeed rakhna aur phir be aas hona bhi Bashar ko maar deta hai bohat hassas hona bhi Suno ik kaan se aur doosre se phaink do bahir Bohat takleef de hai sahib-e-ahsaas hona bhi Yuhin to abr-e-rehmat ki talab karta nahi koi Zaroori hai muqadar me zara si payas hona bhi……

MAIN TAERRAY SUNG KAISAY CHALOON SAJNA. TU SAMANDER HAY MAIN BADULOON KI HAWA, MAERRAY DIL MAIN KOI DERICHA KOLAY, MAIN DEWANI TERRI, MAIN DEWANI TERRI, MERRI MANZIL HAY TU,TERRI MANZIL MAIN NAHI, YAY JAN KER PHER BHI JANA GAM NAHI, YAY AHSAS HI KAFI HAY KAY MAIN NAY TUJH SAY PIYAR KIYA.

Suno?.! Kese kahen tum ko tumhary bin Adhuray hain. Na koi pyas hy baqi Na koi dard utha hy. Haan! Magar EHSAS BAQI HY k Tumhary bin Adhuray hain Koi aisa lafz ho jo Zuban se hum ada karty Tumhare dil py jagerta Dukh se kanp uthti rooh Tarp k tum bhi ye kahtain k Tumhare bin ADHURE hain???

Chalo muhabbat ki naee bunyaad rakhte hain. Khud paband rehte hain tumhain azaad rakhte hain. Hamare khoon main Rab ne taseer aisi rakhi hy. Buraiyan bhool jaate hain achaiyan yaad rakhte hain. Ye soch kr gustakhi na ho jae muhabbat mein. Is liye apna har Qaddam tere Qaddam k baad rakhte hain?..

Zara khamosh reh kr bhi unhe sub kuch suna dena. Zuban se kuch na kahna dekh kr ansoo baha dena. Main mujrim hon mujhe iqrar hai jurm-e- muhabbat ka. Magar pehlay khata per ghor karlo phir saza dena. Ijazat ho tu kehdon qissa-e-ulfat sar-e-mehfil. Mujhe kuch to fasana yaad hai kuch tum suna dena.

hui hai shaam to ankhoon may bus gya phir tu, kahan gya hai meray shyhar k musafir tu, main jaanta huun duniya tujhay badal dy ge, main maanta hun aisa nahi bazahir tu, hansi khushi sy bechra ja agar becharna hai, yea har mukaam py kya sochta hai akhir tu, faraz tu ny ussay mushkaloon may daal diya , zamana sahab-e-zar aur sirf shyer tu…

Kash key tum namm aankhon se? Ek baar bas itna keh detay? Kiya chhorr gaye thay paas meray? Aur ab kiya lainay aye ho? Main khamoshi sey sunn leta? Gham sehh leta dukhh chunn leta? Kuch dard key aansoo ro leta? Tum se sharminda ho leta? Tum keh na sakay hum ro na sakay? Dil pehlay jaisay ho na sakay? Tum afssurda hum sharminda? Shab bhar dono so na sakay? !!!

hum ahl-e-mohabbat par woh waqt bhii aaye hein khud qatl huwey aur qaatil kahlaaye hein roye to hai ruswaai chup rahne pe dam TooTe phoolon ke ewaz hamnein woh zakhm bhii khaaye hein apnon ki mohabbat kii itni sii haqiqat hai jitna bhii gale miliye utne hii paraye hein is daur mein ?barham? bach kar bhii kahan jaayein jo aag baraste hein woh apnon ke hii saaye hei

Dil ki tanhayiyon se zindagi ke raaste nahin kat te, tumhare bina hamari tanha raatein nahin kat te. Tumne to apne dil ko rakh diya hai us shaher mein, Jiske raaste hamari manzil tak nahin pahonjhte. Apne dil ke raaston ko aise band mat karo, kyunki usi ki raah se hamari bhi saansein hai guzarte. Itna rooth kar kaha jaaoge humse, Aap ke raaste to hamari hi manzil par aaker rukte.

Chupchap kahin rakha to hai, Ek khwaab humne dekha to hai Kal shaam yun hi tanha baidkar Tere bare me socha to hai, Doobte sooraj ugte chaand par, Tere liye paigaam bheja to hai, Behti hawa,saagar ki lehron par, Tera hi naam likha to hai, Aasman ko jab gaur se dekha, Tera hi chehra dikha humko hai, Karib ka nahi door ka sahi, Koi ek rishtaa banaa to hai? alizay rubab form longlive pakistan

Samandar Mein Otar Ti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain Teri Aankhon Ko Parti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain Tera Naam Likhne Ki Ijazat Cheen Gai Hai Jab Se Koi Bhi Lafz Likhti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain Na Jane Ho Gai Hoon Is Qadar Hasas Main Kab Si Kisi Se Baat Karti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain Hazaroon Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Par Lekin Jab Bhi Hansti Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain

UB KAY YAY KAISI EID AYEE HAY, METHAYE NA KACHORRI HATH AAYE HAY, IN CHEESON KAY ALAWA BHI AIK ATTRACTION HAY EIDI MILNAY KI, LAIKIN RAAT HO GAYEE KARARAY NOTON KI KOUSHBO NAHI AAYE HAY, ABBA OR AMMA KAY DIYAY HOAY PAISAY BHI DOSTON PER SHOWBAZI MAEN ORA DIYAY HAIN, IS UMEED PER JEERAHAY HAIN, KAL EID KA DOSRA DIN HAY, KOI QALO, MAMMO,CACHA HUM KO BHI EIDI DAIGA, HUM APNAY ARMANON KO LAIKER ESI AAS PER RAAT GUZAR RAHAY HAIN

In ankhon mai dekh ker bata sakta hoon, Mujh se bicher ne ke baad tum soye nahi hoge, Ye nain jis mai abhi hansi nazer ati hai, Vo nain tum ne aanso?o mai bhigoye hoge, Ye haath jispe mehekti hai surkhiya, Vo haath dard chupane mai tumhare kaam aye hoge, Zindagi ka ye safer ab tanha hi katega yaara, Udaas mai hoon to khush tum bhi nahi hoge, Ghum ye nahi ke mere pyaar pe hans diye, Ghum ye hai ke uske baad tum bohot roye hoge..

Hamara ye tum ko ye Salam Akhre hy. Suno!Aaj tum se kalam akhre hy. Agar hosake to Bhula dena hum ko. Yehi ek chota sa kaam Akhre hy. Abhi Arzuon k sehra hain pyase. Magar Aansuon ka ye jaam akhre hy. Tere bewafai ka shekwa nahe hy. Mareez-e-Mohabbat k Aa chara sazoon. Tumhare shehar mein ye shaam Akhre hy. Zara dair thero Qaza k Farishtoon! Lboon py hamare ye payaam akhre hy. Koi mil sake ga na Hasrat k jesa. Tere Husun ka ye Ghulam Akhre hy.