Khawahish’ein kaha’n chain sey rehney dein gi mujhey.! Teray kehney per agar dil-e-nadaa’n chaley….

doob ja ishq e khuda main sab kuch bhool kar aey insaa…. kis nay paayi hay ye duniya ki mOhabbat jo tu paaye ga…

Ab zara tafseel se aye qaasid*-e-khush’ruu bata, Pehle us ne kya kaha, phir kya kaha, phir kya kaha.. (qaasid;postman)

Wo tery naseeb ki Baarshen kisi aur chatt pe baras gain Dil E bekhabr meri baat sun…usy bhool… jah usy bhool jah

Na chain aaye jo jeene se to marne se sakoon hoga, Mohabbat hadh se barrh jaye to lazim hai janoon hoga.. Gohar Ilyas Jalali

usi ik pal ki talaash may jisay log kahtay han zindagi… teri raah guzar may bikher gaien mari umer bhar ki musaftain..

Kahin tum na ho jaao besukoon, Koi baddua tumein na kha jaaye Ye khoye khoye se log hain inhein dekh ke na hansa karo…

woh jo geet tum ney suna nahi meri umr bhar ka riyaz tha, Merey dil ki woh ik daastan jisey tum hansi merin ura gaye!…

Maana k Me Ghareeb HoOn Ye Baat Sach tO Hai Lekin, ?WASI? Tu Agar, Apna Bna Le MujhkO tO- Tere sab Gham khareed Sakta HoOn !

Na aisay aaney ki aarzu thi, na aisay jana hamari khoo thi, Hamary dil ki bhi aabru thi, magar wo pehla sa dil kahan hai. . !

khud he hain baa’is-e-aazaar hum apnay liye warna…. na hum hoty, na dil hotaa, na dill aazaariyan hatien…..

Ahbab ke ta’ney sun sun kar kuch mujhko junoon sa ho hi gaya, Or aag laga di akhir ko kambakht bujhaney walo ney…

Kis Qadar Anjaa’n Hai Ye Silsila-e-Ishq.. Mohabbat To Qaaim Rehti Hai Magar ” Karne Waaly Toot Jaaty Hein”.

Guzr Rahi Hy Tmhari Kesy? Bichr K Hm Sy, sataa K Hm KO… HqeeqtOn KO ZrOor likhna, Ana Ki Khatir Chupa Na Dena…!!!

Na Karoun Yaad Usay To Ulajh Jata Hun Apni Sanson Say FARAZ . Samajh Mein Nahi Aata K Zindagi Sanson Se Hai. Ya Uski Yaadon Se