SaFar-E-WaFa ki rah main manzil jafa ki thi Kagaz ka ghar bna k bhi khwahish hawa ki thi Thi jugnuon k shehr main taron say dushmani Mashooq chaand tha aur tamana subha ki thi Tum ne tu ibadat ka tamasha bna diya Chahat namaz ki thi per aadat kaza ki thi Main ne to zindagi ko teray naam likha tha Shayd magr kuch aur hi marzi khuda ki thi Dard hi dena tha to pehly bta daitay Hum ko bhi azal say hi tamana saza ki thi…

Your Comment Comment Head Icon

Login