Khamosh Hothon Ka Agar Ishara Mil Jaaye; In Dilkash Nagmon Ka Sahara Mil Jaaye; Aapki Mast Nazarein Bekaraar Lagti Hain; Dekh Kar Inhe Mujhe Bhi Shayad Koi Sahara Mil Jaaye

Uski Khamoshi Se Mujhe Darr Lagta Hai; Door Na Ho Jaye Aisa Kyon Lagta Hai; Duniya Se Use Cheen Lene Ka Haunsla To Hai Mujh Mein; Lekin Wo Saath Na Dega Aisa Kyon Lagta Hai

Khamosh Hothhon Ka Agar Ishara Mil Jaaye; In Dilkash Nagmon Ka Sahara Mil Jaaye; Aapki Mast Nazarein Bekaraar Lagti Hain; Dekh Kar Inhe Mujhe Bhi Shayad Koi Sahara Mil Jaaye

Jaisi Hai Teri Tamanna Waise Pyaar Karenge; Har Dhadkan Par Apni Wafa Ka Ikraar Karenge; Jahan Bhi Jaoge Har Kadam Humme Hi Paaoge; Ishq Ke Har Mod Par Tera Intezaar Karenge

Yeh Zulf Agar Khul Ke Bikhar Jaye To Achha; Is Raat Kee Taqdeer Badal Sanwar Jaye To Achha; Jis Tarah Se Thodi Si Tere Saath Kati Hai; Baki Bhi Isi Tarah Guzar Jaye To Achha

Hum Apne Ikhtiyar Kee Hadh Se Guzar Gaye; Chaha Tumhein To Pyaar Kee Hadh Se Guzar Gaye; Jaagi Hai Apne Dil Mein Gulabon Kee Aarzu; Jab Mausam-e-Bahaar Kee Hadh Se Guzar Gaye

Tere Pyaar Mein Do Pal Kee Zindagi Bahut Hai; Ek Pal Kee Hansi Aur Ek Pal Kee Khushi Bahut Hai; Ye Duniya Mujhe Jaane Ya Na Jaane; Teri Aankhein Mujhe Pehchane Yahi Bahut Hai

Do Baatein Unse Kee To Dil Ka Dard Kho Geya; Logon Ne Humse Pucha Ke Tumhein Kya Ho Geya; Bekarar Aankhon Se Sirf Hans Ke Reh Geya; Ye Bhi Na Keh Sake Ki Humein Pyaar Ho Geya

Meri Nazar Se Na Ho Door Ek Pal Ke Liye; Tera Wajood Hai Lazim Meri Ghazal Ke Liye; Kahan Se Dhoond Ke Laaun Charag Se Wo Badan; Taras Gayi Hain Nigahein Kanwal Kanwal Ke Liye

Pyaar Koi Barish Nahi Jo Barse Aur Tham Jaaye; Pyaar Suraj Bhi Nahi Jo Chamke Aur Doob Jaaye; Pyaar To Naam Hai Saans Ka Jo Chale Toh Zindagi; Aur Agar Ruke Toh Maut Ban Jaaye

Yeh Ishq Bhi Ek Ajeeb Ehsaas Hota HaiAlzafon Se Jyada Nigahon Se Byaan Hota HaiHar Pal Bas Uske Gam Aur Khushi Ki Fikr Hoti HaiIsi Ehsaas Se To Humko Jeene Ka Gumaan Hota Hai.

Aankh Ladate Hi Hua Ishq Ka Aazaar Mujhe; Chashm Beemaar Teri Kar Gayi Beemaar Mujhe; Dil Ko Zakhmi To Vah Karte Hain Magar Hairat Hai; Nazar Aati Nahi Chalti Hui Talwar Mujhe

Tu Tha To Tha Yakeen Ki Khuda Bhi Hai YaheenHar Sakhsh K Chehre Mein Khuda Nahi MiltaAb Kya Ibaadat Kya Dua, Kiske Aage Karun SajdaKis Kaam Ke Maszid Jab Khuda Hi Na Mil Sakka

Dilon Say Khailnay Ka Hunar Hamain Aata Nahin,Isi Liyay Ishq Ki Baazi Hum Haar Gayai,Meri Zindagi Se Shayud Unhain Bohut Pyar Tha,Isi Liyay Mujhey Zinda Hi Maar Gayai….

Kitne Dil Fanaa Hue Teri Raah-E-Aashiqii MeinDaur-E-Bewafa Ka Sil Sila Mein Loot GayeeHui Badnaam Qasur-E-Ishq Mein Mohabbat MeriHaal-E-Mahajuurii Mein Jaan Meri Niklati Gayee.