Hum Khud Ko Bhool Jayein To Koi Gham Nahi; Aapko Agar Bhool Jayein Woh Hum Nahi; Chahte Hain Hum Dosto Ko Jaan Se Bhi Jyada; Unke Liye Apni Jaan Bhi Chali Jaye To Koi Gham Nahi

Main Aadat Hun Uski Woh Zaroorat Hai Meri; Main Farmaish Hun Uski Woh Ibadat Hai Meri; Itni Aasani Se Kaise Nikal Dun Use Apne Dil Se; Main Khwab Hun Uska Woh Haqeeqat Hai Meri

Jabse Is Dil Par Tumhara Naam Aaya Hai; Ek Suroor Sa Har Waqt Hum Pe Chhaya Hai; Na Jaane Ye Pyaar Ka Nasha Hai Ya Kuch Aur; Har Jagah Humein Bas Aapka Hi Chehra Nazar Aaya Hai

Labo Pe Geet To Aankhon Mein Khwab Rakhte The; Kabhi Kitabon Mein Hum Bhi Gulaab Rakhte The; Kabhi Kissi Ka Jo Hota Tha Intezar Humein; Bada Hi Sham-o-Sehar Ka Hisaab Rakhte The

Puchhkar Haal Unhone Hamara Dosto
Zindagi Hamari Kuchh Aur Badha Di
Hum Toh Bhatkate The Andheron Mein Yun Hi
Unhone Humko Ek Nayi Raah Dikha Di

Nafrat Bhi Hai Tumse Mohabbat Bhi Hai Tumse; Par Meri Mohabbat Nafrat Pe Haavi Ho Jati Hai; Tumse Door Jaane Kee Meri Har Koshish; Na Jaane Kyon Mujhe Tere Aur Kareeb Le Aati Hai

Agar Hum Bhi Teri Tarah Majboor Na HoteKhuda Kasam Hum Bhi Tumse Kabhi Door Na HoteWo To Tere Ishq Mein Hum Badnaam Ho GayeWarna Shayari Ki Duniya Mein Hum Kabhi Mashoor Na Hote.

Ye Husn-e-Raaz Mohabbat Chupa Raha Hai Koi; Hai Ashk Aankhon Mein Aur Muskura Raha Hai Koi; Nazar Nazar Mein Tajalli Dikha Raha Hai Koi; Nafaz Nafaz Pe Mujhe Yaad Aa Raha Hai Koi

Nafrat Bhi Hai Tumse Mohabbat Bhi Hai Tumse; Par Meri Mohabbat Nafrat Pe Haavi Ho Jati Hai; Tumse Door Jaane Kee Meri Har Koshish; Na Jaane Kyon Mujhe Tere Aur Kareeb Le Aati Hai

Kabhi Lafz Bhool Jaun Kabhi Baat Bhool Jaun; Tujhe Is Kadar Main Chahun Ki Apni Zaat Bhool Jaun; Uth Kar Jo Kabhi Tere Paas se Chal Dun To; Jaate Hue Khud Ko Tere Paas Bhool Jaun

Dil Mein Chhipi Yaadon Se Swaaron Tujhe; Tu Dikhe Toh Apni Ankhon Mein Uttarun Tujhe; Tere Naam Ko Mere Labon Par Aise Sajaya Hai; So Bhi Jaun Toh Khwaabon Mein Toh Pukarun Tujhe

Nahi Jo Dil Mein Jagah To Nazar Mein Rehne Do; Meri Hayaat Ko To Apne Asar Me Rehne Do; Main Apni Soch Ko Teri Gali Me Chhod Aaya Hun; Mere Wazood Ko Khwabon Ke Ghar Mein Rehne Do

Jo Kaha Main Ne Ke Pyaar Aata Hai Mujhko Tum Par; Hans Ke Kahne Lage Aur Aap Ko Aata Kya Hai? Aam Ilzaam Hai Akbar Pe Ke Peeta Hai Kyon; Iski Pursish Nahin Hoti Ke Khaata Kya Hai

Kaha Ye Kisne Kee Phoolon Se Dil Lagau Main; Agar Tera Khayal Na Sochu To Mar Jaun Main; Maang Na Mujhse Tu Hisaab Meri Mohabbat Ka; Aa Jaau Imtehaan Par To Hadd Se Guzar Jaun Main

Nazar Se Nazar Ko Milao Nazar Ka Aitbar Karo; Hum Tum Se Sanam Tum Hum Se Pyaar Karo; Tum Jo Rootho To Kuch Bhi Karke Manaayein Tumko; Hum Jo Pal Bhar Ko Jayein To Tum Intezar Karo