Ishq Ka Qasoor Nahin, Aashiq Dil Ne Maara Hai..Ishq To Hai Paas Mere, Dil Mera Aawara Hai..Ab Judai Sahi Na Jaye, Maut Mujhe Gawaara Hai..K Ab Aa Bhi Jao, Dil Ne Tumhein Pukaara Hai…

Dastaan-e-Ishq Main Sabko Sunati Chali Gayi; Woh Dhaate Rahe Sitam Main Muskurati Chali Gayi; Na Thi Mujhe Parwah Koi Na Tha Kisi Ka Dar; Gamon Ke Sailabon Se Main Yun Hi Takrati Chali Gayi

Kitni Mushkil Se Kati Kal Kee Meri Raat Na Pooch; Dil Se Nikli Hui Honthon Mein Dabi Baat Na Pooch; Main Jiske Liye Ladh Jaun Iss Khudai Se; Mujhe Khud Se Hai Pyaari Yeh Kiski Zaat Na Pooch

Meri Yaadon Mein Tum Ho Ya Mujh Mein Hi Tum Ho; Mere Khwabon Mein Tum Ho Ya Mera Khwab Hi Tum Ho; Dil Mera Dhadak Ke Puche Baar-Baar Ek Hi Baat; Meri Jaan Mein Tum Ho Ya Meri Jaan Hi Tum Ho

Apni Aakhon Ke Samander Mein Utar Jaane De; Tera Mujrim Hun Mujhe Doob Ke Mar Jaane De; Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko; Sochta Hun Kahun Tujhse Phir Sochta Hun Ki Chod Jaane De

Rukh Badalat Hai Zamane Ka ,Har Zamane MeinPhir Bhi Milta Hai Naame Mohabbat Har Bahane MeinShaamil Gar Naa Ho Yeh Duniye Phir Bhi Hum JiyenngeDard Woh Pyara Hai, Hota Hai Jo Ishq Chipane Mein

Jahan Yaad Na Aaye Teri Woh Tanhaai Kis Kaam Kee; Bigde Rishte Na Bane To Khudaai Kis Kaam Kee; Beshak Apni Manzil Tak Jana Hai Humein; Lekin Jahaan Se Apne Na Dikhein Woh Unchaai Kis Kaam Kee

Tum Bin Jiya Jae KaisseTum Bin Raha Jae KaisseSadiyoon Se Lanmbi Hain Ratain…Sadiyoon Se Lanmbe Hain Din ..Ajao Ab Laot Kar Yeh Dil Kuch Keh Raha HayAja Laot Kar Yeh Dil Kuch Keh Raha Hay

Kismat Pe Naaz Hai To Wajah Hai Teri Mohabbat; Khushiyan Jo Pass Hain To Wajah Hai Teri Mohabbat; Main Tujh Se Mohabbat Kee Talab Kaise Na Karu; Chalti Hain Yeh Saans To Wajah Hai Teri Mohabbat

Kisi Ko Toot Kar Chane Se Mohabbat Nahi Hoti; Use Paane Ki Khwahish Rakhne Se Mohabbat Nahi Hoti; Mohabbat To Is Duniya Ki Wo Azeem Cheez Hai; Jo Kisi Se Ek Baar Ho Jaye To Fir Kisi Se Nahi Hoti

Kya Khoob Yeh Safar Chalta Jo Tu Humsafar MiltaManzil Tou Hum Se Chin He Gayi Ab Tou Raasta Bhi Nahi MiltaKaash Hota Mumkin Muqqaddar Badal PaanaPar Afsos Ki Taqqdeer Ka Likha Yun Nahi Mit Paata

Mujhe Apne Jism Kee Khushbu Se Madhosh Kar Do; Mujhe Apni Nazuk Si Baahon Mein Mehsoor Kar Do; Laga Ke Seene Se Mujhe Saare Gham Door Kar Do; Main Tumse Juda Na Ho Saku Mujhe Itna Majboor Kar Do

Kahun Kis Se Main Ki Kya Hai Shab-e-Gham Buri Bala Hai; Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Ek Baar Hota; Hue Mar Ke Jo Hum Ruswa Hue Kyon Na Gharq-e-Dariya; Na Kabhi Janaza Uthta Na Kahin Mazaar Hota

Jalne Do Zamane Ko Chalo Ek Saath Chalte Hain; Nayi Duniya Basane Ko Chalo Ek Saath Chalte Hain; Humein Jeevan Ka Har Lamha Tumhare Naam Karna Hai; Yahi Vaada Nibhane Ko Chalo Ek Saath Chalte Hain

Chand Ko Sitaron Se Aur Mujhe Tum Se Mohabbat Hai; Phoolon Ko Baharon Se Aur Mujhe Tum Se Mohabbat Hai; Mehfil Mein Jo Milna To Nighahein Jhuka Lena; Koi Samjh Na Paye Ki Mujhe Tum Se Mohabbat Hai