Pehli Bar Zindagi Mein Humne Chaha Hai Jisko; Unse Humne Apne Pyaar Ka Izhaar Kar Diya; Ab Woh Apne Dil Ko Beqarar Karein Ya Na Karein; Magar Humne Toh Apne Dil Ko Beqarar Kar Diya

Ishq Qaatil Say Bhi Maqtool Say Hamdardi Bhi; Yeh Bata Kiss Say Mohabbat Ki Jaza Mangay Ga; Sajda Khaaliq Ko Bhi Iblees Say Yarana Bhi; Hashr Mein Kis Say Aqeedat Ka Sila Mangay Ga

Wo Jo Aaye To Meri Zindagi Ko Zindagi Mili; Dil Ke Viraan Shagufo Ko Phir Se Taazgi Mili; Faila Hua Hai Noor Is Kadar Khaksaar Se Unke; Gham-e-Zulmato Ko Unke Hi Dum Se Roshni Mili

Kaha Ye Kisi Ne Kee Phoolon Se Dil Lagau Main; Agar Tera Khayal Na Sochun To Mar Jaun Main; Maang Na Mujhse Tu Hisaab Meri Mohabbat Ka; Aa Jaun Imtihan Pe To Hadd Se Guzar Jaun Main

Apne Dil Mein Tumhare Pyaar Kee Dastaan Likhi Hai; Na Thodi Na Bahut Tamaam Likhi Hai; Kabhi Hamare Liye Bhi Dua Kar Liya Karo; Kyon Ki Humne Apni Har Ik Saans Tumhare Naam Likhi Hai

Yun Hi To Nahi Dil Mera Tujhe Talashta Firta; Kar Yakeen Manzil Ka Tu Hi Hai Kinara Mera; Yun Hi To Nahi Aayi Sada Teri Hawaon Mein Behkar; Haule Se Tumne Hi Hoga Naam To Pukara Mera

Tujhe Chahte Hain Be-inteha Par Chahna Nahi Aata; Ye Kaisi Mohabbat Hai Ki Humein Kehna Nahi Aata; Zindagi Mein Aa Jao Hamari Zindagi Ban Kar; Ki Tere Bin Humein Zinda Rehna Nahi Aata

Mohabbat Mein Main Khud Ko Bhool Jaunga; Raha Wada Teri Shohbat Mein Main Duniya Bhool Jaunga; Kabhi Aajmana Humein Bhi Apni Mehfil Mein; Main Teri Khatir Duniya-e-Mehfil Bhool Jaunga

Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Saba Chale; Yun Hi Khuda Jo Chahe To Bande Kee Kya Chale; Kis Kee Ye Mauj-e-Husan Hui Jalvagar Kee Yun; Dariya Mein Jo Habab The Aankhein Chuppa Chale

Bhool Se Kabhi Humein Bhi Yaad Kar Liya Karo; Pyaar Na Sahi To Shikayat Hi Kar Liya Karo; Itna Bhi Gair Na Samjho Ki Baat Hi Na Karo; Mulaqat Na Sahi Par Milne Ka Vaada Hi Kar Liya Karo

Tanhaiyon Mein Muskurana Ishq Hai; Kisi Baat Ko Sab Se Chupana Ishq Hai; Yun To Neend Nahi Aati Humein Raat - Raat Bhar; Magar Sote - Sote Jagna Aur Phir Jaagte - Jaagte Sona Hi Ishq Hai

Ishq Tujse Karta Hun Main Zindagi Se Bhi Jyada; Main Darta Nahi Maut Se Teri Judai Se Jyada; Chahe To Aajma Le Mujhe Kisi Aur Se Jyada; Meri Zindagi Mein Kuch Nahi Teri Mohabbat Se Jyada

Koi Na Mita Sakega Dil Ke Iss Fasane Ko; Teri Chahat Mein Bhool Jata Hun Zamane Ko; Uthe Jo Meri Nazar Tere Chehre Pe Muskan Aaye; Teri Deewangi Mein Bhool Jaate Hain Nazrein Jhapkane Ko

Aaj Mat Rok Khud Ko Madhosh Ho Jaane De; Paas Aa Apne Nashe Mein Kho Jaane De; Na Aaoon Hosh Mein Na Kabhi Meri Saanson Se Teri Mehek Jaye; Band Kar Le Aankhein Ab Jo Hota Hai Ho Jaane De

Tujhe Chahte Hain Ai Sanam Bas Teri Aarzoo Hai; Tu Zindagi Hai Meri Tu Meri Har Khushi Hai; Mujhe Duniya Se Garaj Kya Tu Meri Justju Hai; Bas Tere Dam Se Hamdam Meri Duniya Mein Roshni Hai