Udaan Walo Udaanon Pe Waqt Bhaari Hai; Paron Kee Abki Nahi Haunslon Kee Bari Hai
Udaan Walo Udaanon Pe Waqt Bhaari Hai; Paron Kee Abki Nahi Haunslon Kee Bari Hai
Ghar Ka Darwaza Is Andaaz Se Khola Usne; Ke Jaise Main Nahi Koi Aur Tha Aane Wala
Thake Hue Hain Sabhi Paimal Raho Par; Kahi Se Dhoond Kar Phir Taza Rah Guzar Lana
Khuda Naseeb Kare Un Ko Khushiyan Saari; Adam Woh Log Jo Hum Ko Udaas Rakhte Hain
Suna Hai Gusse Mein Woh Sab Tod Deta Hai; Mera Dil Hai Uske Pass Khudaa Khair Kare
Kaun Kehta Hai K Kaafir K Dil Mein Khuda Nahi; Bus Wahan Khuda Ko Kehte Khuda Nahi
Dil De To Is Mizaaj Ka Parwardigaar De; Jo Ranjj Ki Gharri Bhi Khushi Se Guzaar De
Jaadu Hai Ya Tilism Tumhaari Jubaan Mein; Tum Jhooth Keh Rahe The Mujhe Aitbaar Tha
Khwahishon Ka Kafila Bhi Ajeeb Hi Hai; Aksar Wahin Se Guzarta Hai Jahan Raasta Na Ho
Main Thak Geya Hu Bahut Shaayadaar Pedon Se; Zara Si Dhoop Bichhakar Qayaam Karta Hu
Mujhe Yeh Darr Hai Teri Aarzu Na Mitt Jaye; Bahut Dinon Se Tabiyat Meri Udaas Naheen
Baskeh Dushwar Hai Har Kam Ka Aasa n Hona; Aadmi Ko Bhi Muyassar Nahi n Insaa n Hona
Main Ek Zarra Bulandi Ko Chhune Nikla Tha; Hawa Ne Tham Ke Zamin Par Gira Diya Mujhko
Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho Faraz ; Dost Hota Nahin Har Haath Milane Wala
Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai; Par Nahin Taqat-e-Parvaz Magar Rakhti Hai