Woh Tu Milta Hai Mujhse Mehdood Se Lamhon Me Faraz; Yeh Dil Hai Kitni Fursat Se Sochta Hai Useh

Raqeebo Ne Rapat Likhwai Hai Jaja Ke Thane Mein; Ke Akbar Naam Leta Hai Khuda Ka Is Zamaane Mein

Ho Na Ho Yeh Koi Sach Bolney Wala Hai Qateel; Jis Ke Hathon Mein Kalam Paon Mein Zanjeerein Hain

Hain Aur Bhi Duniya Mein Sukhan-War Bahot Achhe; Kehte Hain Ki Ghalib Ka Hai Andaaz-e-Bayan Au

Janazaa Rok Kar Mera Wo Is Andaaz Se Boley; Gali Humne Kahi Thi Tum To Duniya Hi Chorey Jaatey Ho

Mujhe Yaqeen Hai Ki Tum Munfarid Ho Auron Se; Tumhein Ghumaan Hai Ki Shayad Main Auron Jaisa Hoon

Badal Dena Hai Raasta Ya Kahin Par Baith Jana Hai; Ki Thaktaa Ja Raha Hai Humsafar Ahistaa Ahistaa

Yeh Bhi Sach Hai Koi Ulfat Mein Pareshan Kyun Ho; Yeh Bhi Sach Hai Koi Kyun Kar Na Pareshan Ho Jaye

Yoon Kehne Ko Toh Hum Bade Khush Mijaz Hain Lekin; Rula Deti Hai Apno Ki Pyaar Ki Hasrat Kabhi Kabhi

Tijoriyan Bharte Hein Log Ummar Bhar Ke Liye; Par Afsos Maut Ka Farishta Kabhi Bhi RISHWAT Nahi Leta

Manzilon Ke Gham Mein Rone Se Manzilein Nahin Milti; Haunsle Bhi Toot Jaate Hain Aksar Udaas Rehne Se

Main Hairaan Hoon Ke Kyon Us Se Huiee Thi Dosti Apni; Mujhe Kaise Gawarah Ho Gayiee Thi Dushmani Apni

Naya Ek Rabt Paida Kyon Karen Hum; Bichadna Hai To Jhagda Kyon Karen Hum Translation: Rabt = Relation

Aa Ki Tujh Bin Iss Tarah Ai Dost Ghabrata Hun Main; Jaise Har Shai Mein Kisi Shai Kee Kami Paata Hun Main

Wohi Wehshat Wohi Hairat Wohi Tanhai Hai Mohsin 894; Teri Aankhein Mere Khawabon Se Kitni Milti Julti Hain