Umeed-E-Hoor Ne Sab Kuchh Sikha Rakhha Hai Waaiz Ko; Yeh Hazrat Dekhne Mein Seedhe Saadhe Bhole Bhaale Hain

Khawab Khayal Haqeeqat Yaqeen Gham Aur Khushiyaan; Zara Si To Umar Hai Meri Bhala Kis Kis Ke Saath Guzarunga

Woh Chahta Tha Ki Kasa Khareed Le Mera; Main Uske Taj Kee Keemat Laga Ke Laut Aaya Meaning: Kasa = Bowl Goblet

Kyun Judta Hai Tu Iss Jahan Se Ek Din Yeh Guzar Hi Jayega; Chahe Kitna Bhi Samet Le Jahan Mutthi Se Fisal Hi Jayega

Shaam-e-Wada Sahi Dukh Zyada Hi Sahi Phir Bhi Dekho Faraz ; Aaj Shab Us Ki Furqat Mein Keh Lo Ghazal Kal Usay Dekhna

Ujaad Di Hai Ajab Zalzalon Ne Yeh Basti; Makeen Talash Karoon Ya Makaan Talash Karoon Translation: Makeen= Residents

Hum Na Hotey To Kisi Aur Ke Charchey Hotey; Halqat-e-Sheher To Kehne Ko Fasaaney Mangey Translation: Halqat = Public

Doston Ke Iss Qadar Sadme Uthaye Jaan Par; Dil Se Dushman Kee Adawat Ka Gila Jata Raha Meaning: Adawat = Enmity Hatred

Ab Zara Tafseel Se Aye Qaasid-e-Khush ruu Bata; Pehle Us Ne Kya Kaha Phir Kya Kaha Phir Kya Kaha Translation: Qaasid = Postman

Abhi Zinda Hun Lekin Sochta Rehta Hun Khalwat Mein; Ki Ab Tak Kis Tamanna Ke Sahaare Jee Liya Maine Meaning: Khalwat = Privacy

Phool Mazaar Tak Nahi Pahuncha Daaman-E-Yaar Tak Nahi Pahuncha; Ho Gaya Vo Kafan Se To Aazaad Phir Bhi Gulzaar Tak Nahi Pahuncha

Waqt Ka Har Ik Chalan Badal Dein; Chalo Nizaam-E-Kohan Badal Dein; Banaein Nayzon Ko Lafz Aur Hum; Ada-E-Shair-O-Sukhan Badal Dein

Main Hairat-O-Hasrat Ka Maaraa; Khaamosh Khara Hoon Saahil Par; Dariyaa-E-Mohabbat Kehta Hai; Aa Kuchh Bhee Naheen Paayaab Hain Hum

Waqt Ka Har Ik Chalan Badal Dein; Chalo Nizaam-E-Kohan Badal Dein; Banayein Nayzon Ko Lafz Aur Hum; Ada-E-Shair-O-Sukhan Badal Dein

Talash Hai Ek Aise Shakhs Kee Jo Aankhon Mein Us Waqt Dard Dekh Sake; Jab Sab Log Mujse Khete Hain Kya Yaar Hamesha Hansti Rehti Ho