Andhere Charon Taraf Taraf Sayein Sayein Karne Lage; Chirag Haath Utha Kar Duayein Karne Lage; Taraqi Kar Gaye Bimariyon Ke Saudagar; Yeh Sab Mariz Hain Jo Ab Dawayein Karne Lage
Andhere Charon Taraf Taraf Sayein Sayein Karne Lage; Chirag Haath Utha Kar Duayein Karne Lage; Taraqi Kar Gaye Bimariyon Ke Saudagar; Yeh Sab Mariz Hain Jo Ab Dawayein Karne Lage
Mere Huroofon Mere Lafzon Mein Hai Chehra Mera; Mera Fun Ab Mera Mazhab Mera Emaan Bhi Hai; Meer-o-Ghalib Na Sahi Phir Bhi Ghanimat Jano; Mere Yaaron Ke Sarhane Mera Diwaan Bhi Hai
Kab Tak Aakhir Jalenge Khud Hi Is Aag Mein; Dost Ab Andaz-E-Jauhar Badalna Chahiye; Katl Hone Se Koi Darta Nahi Hai Is Shehar Main; Par Shart Ye Ki Har Dafa Khanjar Badalna Chahiye
Le Gaye Khaak Mein Ham Daagh-e-Tamanna-e-Nishaat; Too Ho Aur Aap Ba-Sad-Rang-e-Gulistaan Hona Translation: Nishaat (or Nashaat) = Enthusiasm/Happiness Ba-Sad-Rang = Hundred Colours
Apna Ghar Kitna Hi Viraan Ho Phir Apna Ghar Hai; Bistar-e-Khaak Lage Takht-e-Sulemani Mujh Ko; Jaanta Hoon Main Khad-o-Khaal Ki Kimat Mohsin; Aaina Kr Na Sake Ga Kabhi Hairan Mujh Ko
Baske Hun Ghalib Asiri Men Bhi Atish Zer Pa; Mue Atish Dida Hai Halqa Meri Zanjir Ka Translation: Baske = Whereas Atish Zer Pa = Impatient Mue Atish = Heat Damaged Hair Halqa = Ring
Ek Tukda Teri Yaadon Ki Chandni Ka Tod; Nihara Use Der Tak Hatheli Par Rakh Ke; Phir Ek Phoonk Se Udaa Diya Kal Raat Maine; Aaj Subah Dekhi Hai Tere Ehsaas Ki Dhund Har Taraf Faili Hui
Kya Zauq Hai Kya Shauq Hai Sau Marataba Dekhun; Phir Bhi Ye Kahoon Jalwa-e-Jaanan Nahin Dekha; Kya Poochte Ho Kaun Hai? Ye Kis Ki Hai Shohrat; Kya Tumne Kabhi Daag Ka Deewan Nahin Dekha
Utna Hi Mujhko Apni Haqeeqat Se Bood Hai; Jitna Ki Vahm-e-Ghair Se Hoon Pech-o-Taab Mein Translation: I am equidistanced from my own reality In proportion to the illusion of otherness
Aag Paani Mein Lagane Ka Hunar Seekha Hai; Kaam Mushkil Hai Bohat Hum Ne Magar Seekha Hai; Yeh Jo Chaltay Nazar Aatay Hain Musalsal Hum Log; Kuch To Paanay Ki Talab Hai Jo Safar Seekha Hai
Nikalna Khuld Say Aadam Ka Sunte Aaye Hain Lakin; Bohat Bayabroo Ho Kar Teray Kochay Say Hum Niklay Translation: Khuld Say Aadam = Birth of man from the womb Kochay = Door Bayabroo = Shamelessly
Sharam Ek Ada-e-Naaz Hai Apne Hi Se Sahi; Hai Kitne Behijab Ki Yun Hai Hijab Mein Translation: Reticence is a form of pride even with oneself No matter how unveiled you are within your many veils
Kis Kis Se Rakhiye Dosti Kis Kis Ko Dushman Janiye; Chehron Mein Ghir Kr Reh Gayin Nadaniyan Danaiyan; Rishton K Bandhan Tod Kr Hum Tum Yun Hi Milty Rahen; Roka Krein Ghar Waliyan Pocha Krein Humsaiyan
Aarish-e-Jamaal Se Faarigh Nahi Hanooz; Pesh-e-Nazar Hai Aaina Daaim Naqab Mein Translation: The embellishment of the ravishing is never to be done Inside the seculusion of the veil the mirror lives constantly
Hai Mushtamil Numood-e-Suvar Par Wijood-e-Bahr; Yan Kya Dhara Hai Qatra-o-Mauj-o-Hubab Mein Translation: What appears as confirmation of the Ocean s actuality Is it merely a sum total of wave drop phosphorescence