Ghar Se Har Waqt Nikal Aatey Ho Kholey Hue Baal; Kuch To Shaam Dekhi Meri Jaan Savera Dekho

Khudaya Apne Farishtey Na Bhej Duniyaa Mein; Main Aadmi Hoon Farishton Ke Sath Kaise Rahoon

Bikhra Pada Hai Tere Hi Ghar Mein Hi Tera Wajood; Bekaar Mehfilon Mein Tuje Dundhta Hun Mein

Hum Bhi Dariya Hai Humein Apna Hunar Maloom Hai; Jis Taraf Bhi Chal Padenge Raasta ho Jayega

Tum Bhi Ho Beete Hue Waqt Kee Tarah Hu-Bahuu; Tum Ne Bhi Yaad Aana Hai Khud Aana To Hai Nahi

Jub Koi Pochhta Hai Mujhse Meri Zindagi Ki Qeemat; To Mujhe Yaad Aa Jaata Hai Tera Muskurana

Socha Tha Achaa Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi Manga Khuda Se Har Waqt Tere Siwa Kuch Bhi Nahi

Nisaar Main Teri Galliyon Ke Aye Wattan; Ke Jahan Chali Hai Rasm Ke Koi Na Sar Utha Ke Chaley

Kitne Majboor Hain Taqdeer Ke Hathon; Na Use Pane Ki Aas Rakhte Hain Aur Na Use Khone Ka Hosla

Kuchh Log Hain Khaamosh; Magar Soch Rahey Hain; Such Bolengey Tab; Such Key Jab Daam Barhengey

Seekh Duniya Hi Mein Vaaiz Hoor Se Milne Ke Dhang; Varna Royega Ki Jannat Mein Bhi Ruswayi Hui

Bada Maza Ho Jo Mehsher Mein Hum Karen Shikwa; Woh Minnaton Sey Kahen Chup Raho Khuda Key Liye

Ret Par Thak Ke Gira Hun To Hawa Puchti Hai; Aap Iss Dasht Mein Kyon Aaye The Vahshat Ke Bagai

Woh Meri Gazal Padh Kar Pehloo Badal Ke Bole; Koi Chhene Qalam Iss Se Yeh To Jaan Le Chalaa Hai

Ustaad Kyon Roya Thaa Kin Halaat Ka Maara Tha; Bachon Ko Sikhaaya Jo Mohabbat Kaise Likhte Hain