Mein aaj boht udaas hoon koi nahi Jis dil se veerani baant saku’n Koi nahi Jo mery behtay aansuo’n ko rok sakay Koi nahi Jo ik zara harf-e-tasalli de koi nahi Jo muskura k kahay “Apni hasaas aankho’n ko takleef na de” Ye moti merey dil pe girty hain Koi nahi Agar hai tou bolta kyun nahi hai. . !

Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai, Tu Khafa Meri Kis Baat Se Hai, Tu Bhi Na Uljha Kar Mujhse Is Tarah, Jo Tu Achi Tarah Wakif Mere Jazbat Se Hai, Main Kaise Ji Lon Tumse Rooth Kar, Meri Har Saans Wabasta Teri Yaad Se Hai, Mera Taluk Jura Hai Kuch Is Tarah Tumse, Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Ap se Hai……!!!!

Meri har nazar Teri muntazir teri har nazar kisi or ki, Meri zindage teri bandagi teri zindage ksi or ki, Kabhi waqt jo mile tujhe zara aa ke dekh mere haal ko, Meri har ghadi tere lye teri har ghadi kisi or ki, Mujhe sirf teri talab thi par jane Kiyun mujhe tu na mili, Tu use mila mere saamne jise thi talab ksi or ki…!

Tamannaon ke bahalave mein aksar aa hi jate hainkabhi hum chot khate hain kabhi hum muskurate hainhum aksar doston ke bevafai sah to lete hainmagar hum janate hain dil hamare toot jate hainkisi ke sath jab bite hue lamhon ke yaad aayithaki aankhon mein ashkon ke sitare jhilmilate hainPoet of the Poem / Ghazal or Nazam : Roshan Nanda

Bewafa Tum Nahi Bewafa Hum NahiBewafa Tou Yeh Zamana HaiWafa Ka Daman Na Chorna TumAbhi To Zindagi Ne B Azmana HaiDuniya Ki Bato Nai Na Ana TumIs Ka Kam Hi Dil Jalana HaiSub Jante Hai Ye Log KeTeri Meri Muhabbat Ka Qisa Purana HaiJo Khuwab Duniya Cheen LeIn Khawbo Ko Nahi Apna HaiJo Hum Tum Ne Wada Tha KiyaUse Ta_Qiyamat Nibhana Hai

Bewafa Tera Mausum Chehra Bhul Jane Ke Kabil NahiTum Bahut Khubsurat Ho Par Dil Lagane Ke Kabil NahiMana Ki Husn Ki Mallika Ho Tum Par Apna Banane Ke Kabil NahiHar Dil Ki Dhadkan Ho Tum Par Mere Dil Mai Samane Ke Kabil NahiHar Aangan Ki Mehfil Ho Tum Par Mera Aangan Sajane Ke Kabil NahiBewafa Tera Masum Chehra Bhul Jane Ke Kabil Nahi

Mujh sy milty hn tu milty hn chura kr aankhen Phr wo kis k lye rkhty hn saja kr aankhen Mae unhen dekhta rhta hon jahan tak dekhon Aik wo hn k jo dekhen na utha kr aankhen Us jaga aj b betha hon akela yarooo Jis jaga chor gae thy wo mila kr aankhen Mujh sy nazrain wo aksar chura leta h faraz Mae ny kaghaz py b dekhi hn bana kr aankhen

Silsila tor diya us ney to ye sadaen kesi..? Ab jo milna hi nahi, phir ye wafaen kesi..? Maine chaha tha sub shikwey giley door karna, Us ney zehmat hi na ki sunney ki to ye aahen kesi..? Ley lo wapas ye ansu, yeh tarap aor ye yaaden sari..? Nahi koi jurm mera to phir ye sazaen kesi…?? (Sadaen:Calling out)(Jurm:Crime) (Ansu:Tears)

?”zawal-e-shab main sitaroon ne sath chhorr diya, “saba chali to chiragoon ne sath chhorr diya, “mila jo mouqa mujhe un se baat krne ka, “Mere naseeb k lafzon ne sath chhorr diya, “woh ‘roo ba roo’ thi magar uss ko dekhte kaise, “Woh rang’o noor thi Aankhon ne sath chhorr diya……

Koi guzra hua lamha Koi beeti hui sa’at Tumhary dil k band dareechy mein chali aaye Tumhain aisa lagay K muddat baad Tumhain dheemi c, meethi c Kasak mehsoos hoti hai Tumhain kuch yaad aata hai Tou mery bhoolay huay saathi Mery na-meherbaa’n Palat aana, Palat aana K meri sama’atain ab bhi Tumhari ahat’on ki muntazir hain.

Tumharay Khat Main Naya Ek Salam Kiss Ka ThaNa Tha Raqeeb Tu Akheer Woh Name Kiss Ka ThaRaha Na Dil Main Woh Baydard Or Dard RahaMukeem Kon Howa Hai Makaam Kiss Ka ThaWafa Karain Gay Nibhain Gay Baat Manain GayTumhain Bhee Yaad Hai Kuch Yah Qalaam Kiss Ka ThaGuzar Gaya Woh Zamana Kahoon Tu Kiss Say KahoonKhayal Dil Ko Maray SubhOSham Kiss Ka Tha

Muddat Se Jis K Wastey Dil Beqarar ThaWo Lout Kar Na Aaya Magar Intezar ThaJo Humsafar Tha Chor Gaya Raah Me MujheMain Phas Gaya Bhanwar Me Or Wo Darya K Paar Tha…Manzil Qareeb Aayi To Tum Door Ho GayeItna To Tum Batao K Ye Kaisa Pyar Tha…Ye Baat Umer Bhar Samajh Na Paya MainQ Dil Mera Us Bewafa Ka Talabgaar Tha.Share By : Syed Aslam

Apne khwabo ki tabir ki khatirMeri chhota sa sansar kyon ujar dalaYad kar wo din ek isara par maineBhari mahfil main tujhe apni dulhan bana dalaPar thodi si gurbat ko dekh kar tum neMujhe beijjat aur badnam kar dalaMaine hamesha tujhe pyar kiya haiPar tune khun ke aansu rula dalaTumhe rutha hua mahboob samjha tha mainPar tune mujh se bewafai kar dala.

Usne Kya Khub Sila Diya Mere Aitbaar KaJindagi Chhin Li Mere Sachche Pyar KaJite Ji Sab Kuch Uske Naam Kar Diya ThaFir Bhi Mujhe Saja Mila Tamam Umra Intzaar KaJindagi To Hole Hole Jahannum Ban GayiThori Si Khusi Me Hazaro Gam San GayiAfsos Mujhe Hai Dil Par Tere Ikhtiyar KaKya Khub Sila Diya Mujhe Mere Aitbaar KaJindagi Chin Li Mere Pyar Ka…!!! 

Ishq Ke Phool Bhi Khilte Hain, Bikhar Jaate HainZakhm Kaise Bhi Hon, Kuch Roze Main Bhar Jaate HainUs Khwabon Main Ab Koi Nahi Aur Hum Bhi NahiItne Roze Se Aaye Hain, Chup Chaap Guzar Jaate HainNurm Aawaaz, Bholi Baatain, Mohazzab LehjaaPehle Baarish Main Hi, Sab Rang Utar Jaate HainRaasta Roke Khari Hai, Wahi Uljhan Kab SeKoi Puche To Kahen Kya Ke Kidhar Jaate Hain