Kabhi zaroorat parre to awaaz de dena, Main guzra waqat nahi jo wapis na aaon !!

Tere bagher guzarta nahi tha ek pal bhi, Tere bagher magar zindagi guzaari hai..

Jane ki ijazat to diye daite hain lakin, Raste me kahen atee hoe shaam na karna.

Koi hamsafr na ho ga mera tere baad, Sub se hum hoye bewafa teri zat ki khatir..

Mujh se ab aur tamasha ho nahin sakta, Le ja, Yeh dikhavey ki hansi bhi aa kar..

hmraah is kay hm nahi chal saktay aik din hum loog aadmi hai zia qaaasmi hain jin

Andesha bi tha or Ehtiaat bi bohat ki, Hoty Hoty wo shaks judda ho hi gaya…

Bari dair tak qurbatun ka gumaan raha, Mujhay yun laga k tu aj bhi mere pas hai..

Ye theek hai nahi marta koi judai me, Khuda kisi ko kisi se magar juda na karey..

Log sab achey hain waqt hi acha nahin, Zindagi se jo nikal jaye woh milta nahin..

Mile to hazaron log they zindagi main, Wo sabse alag tha jo kismat mein nahi tha..

Aa jaye Kisi Din Tu Aisa bhi Nahi lagta, Lekin Woh Tera Wada Jhota bhi Nahi lagta.

Hum khod se bichar jaen alag bat hai lakin, Kab raas humen us ki rafaqat nahin ai.

Khak me us ki judai me pereshan phiron, Jab k ye milna bicharna meri marzi nikala.

Chale the yon to kai loog koe janan ko, Zara sa hum se magar ikhtalaf raah ka tha.