Koi sawaal jo poochay to kia kahoon us se Bicherney walay! Sabab to bata judai ka. . !

Shayed tumhare sath bhi wapiss na aa sakain, Woh hausley jo saath tumharey chale gaye..

Kehte ho k bichare koi mudat nahin guzari Lagata hai kabhi tum ne celandar nahin daikha

Wo shakhs jis ko samjane me muj ko umer lagi, Bichar k muj se kisi ka na ho saka ho ga.

Gum kahen na ho jana sheher k jhamelon me, Me kahan kahan tum ko bheer me sada doon ga.

Shoq hai tuj ko juda hone ka lakin arshad, Rakh kar de gi judai tujhe aindhan ki tarah.

Tere baghair jee to raha hoon magar ye dil, Sehra ki chandni ki tarha sogwar hai…

Usey kya pata kya guzari hai mujh par.. Meri ankho se uske intzar ki inteha to poocho..

Bewafa tum they, tum they, ya muqadar mera, Baat hai yeh ke bass anjaam judaai niklaa..

Baat muqaddar par aa kar ruki hai warna, Koi kasar to na chori thi tujhe chahney mein..

Socha Tha Uss Se Bichrenge Toh Mar Jayenge, Jaan Lewa Khauf Tha Bas, Hua Kuch Bhi Nahi..

Us Shaks Ko To Bicharrney Ka Saleeka Nahi, Jatay Hoe Khud KO Mere Pass Chor Gaya …

Juda huye hain bohat log ik tum bhi sahi, Ab itni si baat pe kya zindagi haraam karain..

Wo Bhi Mujhe Aziz Tha Main Bhi Usay Pasand, Phir Jaane Kya huwa Ke Mohabbat Nahin Rahi..

Doori ne kar diya hai tujhe aur bhi qareeb, Tera khayaal aa ker na jaaye to kya karoon..