Parhata tha me namaz samaj kar use rasheed, Phir yoon hoa ke muj se qaaza ho gea ho shakhs.

Mujhe to gham tha us ke bicharrne ka magar, Woh hath malta raha umar bhar ganwaa ke mujhe..

Tumhara Noor Hi Hai Jo Pad Raha Chehre Par,Warna Kaun Dekhta Hai Mujhe Andhere Mein…

Yun phir raha hai kaanch ka peikar liye howey, Ghafil ko gumaan hai key pathar naa aye ga..

Kya bataaon kis tarah ab katt rahi hai zindagi, Meri har har saans hai talwaar tere bagair..

Tumhare pass nahin to phir kis ke pass hai ? Woh toot’ta Huwa dil akhir Gaya Kahan.???

Zaad e raah is lie bhandha hai k ye daikh saken, Kaise lagte hain tujhe chor k jate hoe ham.

Ab hum wisaal-e-yaar se bezaar hain bohat, Dil ka jhukao hijar ki jaanib balaa ka hai…

Jab Bichrna Ho To Hanstay Huay Jana Wrna, Har Koe Rutth Kay Janay Ka Sabab Puchay Ga …

Bicharr ke us se pareshaan bohat hoon main, Suna hai woh bhi barri uljhanon mein rehta hai..

Mein qaabil-e-nafrat hoon to chorr ja mujh ko, Tu mujhe se yun dikhawey ki mohabbat na kar..

Halaat ka takaza tha ik bar mil key hum.. Bichrey kuch is ada sey key dobara na mil sakey.!!

Aik din woh mil gaye they sar-e-rahguzar kahin, Phir dil ne bethne na diya umar bhar kahin..

Hijar ki aag me chup chap jaley they do dil, Kuch qusoor is me meri jan merey halat ka tha..

Khud bhi udas rehta hai mujhse khafa ho kar, Iss tarah bhi woh shakhs mujhe chahta hai…