Tere bagair ye ab zindagi kahaan guzrey, Qadam qadam pe tere saath ka gumaan guzre..

Humen ne tarak e taluq me pehal ki k faraz, Wo chahta tha magar hosala na tha us ka.

Tu dil pe bojh leke mulaaqaat ko na aa, Milna hai is tarah to bicharrna qabool hai..

Saboot doon ga main tujhe wafaaon ka apni, Zara sa dil ko mere tum sakoon lene doo..

Youn Hi Umeed Dilatay Hai Zamaney Walay, Kab Lout Ka Aatay Hai Chor Ke Janay Walay..

Phir us ki yaad me dil be karar hai nasir, Bichar ke jis se hoi sheher sheher ruswai.

Bicharty Waqat Se Ab Tak Main Youn Nhi Roya Vo Keh Gaya Tha,Yehi Waqat Imtehan Ka Hai

Chorr aye ho sar-e-sham usey kyon Nasir, Phir usey ghar se bulaa lao ke raat kattey..

Dunya Mujhi Se Mera Pata Poochti Rahi, Mera Wajood Guum Tha Ksi Aur Zaat Mein…!

Han muje rasam e muhabbat ka salika hi nahin, Ja kisi aur ka hone ki ijazat hai tujhe.

Zindagi ka jo me adi ho gea us k beghair, Phir muje us ki zarorat kam se kam hoti gai.

Baat itni si hoti to kuchh aur baat hoti.. Sabki judai aur unki judai me fark to hai..

Khawb aankhon se gaye neend raaton se gayi, Woh gaye to laga zindagi haathon se gayi..

Jatey huye kehte ho qayamat ko milein ge, Kya khoob, qayamat ka din hai goya koi aur..

Juda ho kar bhi jee rahe hain muddat se, Kabhi dono hi kehte they yoon ho nahi sakta..