Bichar hi jatay hain duniya mein chahnay wale, Chalo jo howa so howa pr neend kyun nahi aati…

Us ko to kho diya hai ab najane kis ko khona hai, Lakeeron mein judai ki alaamat ab bhi baaqi hai..

Lo me ankhen band kie leti hon abb tum rukhsat ho, Dil to jane kia kehta hai lakin dil ka kehna kia.

Kaisa Sitam Hai Apka Ye, Ke Rone Bhi Nahi Dete,Kareeb Aate Nahi Aur Khud Se Juda Hone Bhi Nahi Dete.

Katt hi gayi judaai bhi, kab yeh hua ke mar gaye, Tere bhi din guzar gaye, mere bhi din guzar gaye..

Kaisa Sitam Hai Apka Ye, Ke Rone Bhi Nahi Dete,Kareeb Aate Nahi Aur Khud Se Juda Hone Bhi Nahi Dete.

Ye mizaaj hai apna kisi ka dil na dukhay Judai’on ko bhi chaha hai qurbato’n ki tarha. !

Yeh Bhi Ek Khawab Ka Jaaga Hua Manzar Hi Na Ho, Teray Hathon Main Mera Hath Kahan Mumkin Hai….??

Log Dilon Mein Jaga Kaisey Bana Letey Hain Hum Tö Unki Zuban Pay Apna Naam Tk Na La Sakey…!

Khuda jaane bicharr ke mujhse kis ka muntazir hoga, Hain muddat se muntazir jis ke waastey aankhein ..

Yehi hai na tumhein mujhsy bicharr janey ki jaldi hai Kabhi milna tunhary masly ka hal nikalaingy. . !

Band hai ankhon mein manzar us ke jate waqt ka, Nakshh hai tasveer dil per, Kap’kapatey hath ki..

Kaisey Andaz-e-Shouq Mein Keh DiYa Tum Ne Alvida, Jaisey Sadiyon Se Tere Dil Pe Koi Bojh Thy Hum…

Woh kehta tha Qabuliyat Ka ek waqt hota hai, Hairan hun yeh soch kar maine kis pal usey nahi manga..!!!!

Ana’aa ke morr pe bichrre to hamsafar na mile, Hum aik sheher mein reh kar bhi umar bhar na mile..