Yeh bhi acha hua ke usey haasil na kar sake hum, Hamara ho kar bicharr jata to qayamat hoti..

Unn sey bichrren gey to mar jaaayen gey, Bala’aa ka khauf tha magar hua kuch bhi nahi..

Bohat nazdeek ho ker bhi woh door hai mujhse, Ishaara ho nahin sakta, pukara ja nahin sakta..

Kya khabar thi woh humain aik sitaarey ki tarah, Paas reh kar bhi bohat door dikhayi dain ge..

Dhoondta phirta hoon logon me shabahat uski, Ke woh khawbon mein bhi lagti hai khayalon jesi..

Phir na milne ko bicharta to hoon tujh se lekin, Murr ke dekhoon to palattne ki dua bhi dena..

Hum ne khud se bhi chupaya aur saare sheher ko, Tere jaane ki khabar dewaar-o-dar karte rahe..

Tum paas nahin ho to ajab haal hai dil ka, Yoon jese kuch rakh ke main kahin bhool gayi hoon..

Ajab Tamasha Hai Mitti Se Bane Logon KaBewfai Karo To Rote Hain, Agr Wafa Kro To Rulate Hain.?

Awaaz mein thehrao tha, ankhon mein nami si thi, Aur keh raha tha mene sab kuch bhulaa diyaa..

Hai inteha-e-yaas bhi ik ibtada-e-shauq. . Phir aa gaye wahin pe, chalay thy jahan se hum. . !

Tu geya jese mein duniya se hi katt kar reh geya, Ab to koi bhi nahin mera mere dil ke siwaa..

Dil tumhare sheher se bahar kahin lagta nahin, Umar guzri hum inhin galiyon ke ho ke reh gaye..

Bicharr ke tujh se na dekha gaya kisi ka milaap, Urra diye hain parindey shajar pe bethe huye..

Tujh Ko Kia iLm Tujhe Haarnay Waalay Kuch Log, Kis Qadar Sakht Nidaamat Se Tujhe Dekhtay Hain..