arishon k mosam men muhabbaton k alam men main ne us se pocha tha chor to na jao gey? us ne hath thaam kr pyar se mujhe bola’ kese chor sakta hon? tum to jan ho meri. or aj aisa ha. barishon k mosam men wehshaton k alam men main ne us se pocha ha? chor k jo jana tha muskurati galion men to aas kyun dilai thi? pyaas kyun jagai thi? chaltey chaltey wo bola mosmon ki adat ha waqt par badal jana.

Kuch bhi tu nahee mere paas Teri yaadoon ke siwa Teri pyaar bhari baatoon ke siwa Mujhe yaad hai sab kuch Tera woh kehna ke kitni khobsurat hain aankhain tumhari Kitne rung hain in main Yeh kitna muskuraati hain Yeh kitni baatain karti hain Main thori door hojaoon tau Mujhe waapis bulaati hain Yeh mujh ko aazmaati hain Magar Ab kuch bhi tu nahee bacha in mein Tere khwaaboon ke siwa Teri yaadoon ke siwa…

Ik larki, Pagli si deewani si, Masoom si anjaani si, Apne ghar ki munder per bethi, In galiyon aur chaurahon ko, In koochon aur bazaron ko, Dekhti hai, Jahan isne apna bachpan guzara tha, Iski ankhon mein tha tha, intizaar… Kisi ka! Magar isey kon samjhaye, Ke bachpan ke vaade to, Kachi daur ki tarah hote hain, Aur… Bhala jane wale, Kab laut kar aate hain! (Vaade:Promises)(Munder:Terrace)(Chaurahon:Streets)

Chot taaza hay magar, Zakham purany apny, Kitnay mushkil hain yahan, Dard chupany apny, Jin ko hum yaad karein, Hum unhein yaad nahi, Kaisy hotey hein yahan log, Na janay apnay, Kitna chaha hay tujhy, Ye to hum hi janty hein, SSa-khuda, Itny nahi thy kabhi, Deewany apny, Har jaga shor, Meray ishq ki ruswai ka, Kitny mash’hoor hain, Chahat k fasany apny, Ek teri yaad sy, Daman ko bachaney ke liye, Kitny badley hain yahan main ny, Thikaanay apnay…

Kaha tha yaad hai tum ne, Ke main hoon chand, Aur tum chandni meri, Magar jab chand chup jaye, Kaho phir chandni kesi ? Kaha tha yaad hai tum ne, Ke main hoon phool, Aur tum phool ki khushbu, Magar jab phool murjhaye, Kaho khushbu bhala kesi, Kaha tha yaad hai tum ne, Ke main hoon dil, Aur tum dharkan, Magar dil toot jaye to, Kaho phir dharknain kesi, Kaha tha yaad hai tum ne, Ke main hoon aas, Aur tum zindagi meri, Magar jab aas tootey to, Kaho phir zindagi kesi…??

afsaana kisi ka afsaana mera ban gaya afsaana kisi ka poochho na muhabbat ka asar haaye na poochho haaye na poochho poochho na muhabbat ka asar haaye na poochho haaye na poochho dum bhar mein koi ho gaya parwaana kisi ka dum bhar mein koi ho gaya parwaana kisi ka afsaana mera ban gaya afsaana kisi ka milte hi aankhen dil hua deewana kisi ka haste hi na aa jaaye kahin aankhon mein aansoo aankhon mein aansoo haste hi na aa jaaye kahin aankhon mein aansoo aankhon mein aansoo bharte hi chhalak jaaye na paimaana kisi ka bharte hi chhalak jaaye na paimaana kisi ka afsaanaa mera ban gaya afsaana kisi ka milte hi aankhen dil hua deewana kisi ka

Bas Itni Si Guzarish he, Na Sagar se Moti chahta hu, Na Samandar se Pani chahta hu, Na Suraj se Roshni chahta hu, Na Rat se Andhera chahta hu, Na Phulo se Khushbu chahta hu, Na Bhavro se Git chahta hu, Na Badal se barsat chahta hu, Na Asman se Sitare chahta hu, Bas ek hi Sapna he Mera, Bas ek hi Khvahis he Meri, Bas itni si Guajarish he Meri ke me Sirf Tuje chahta hu, Bas itni si chahat he ki Tere Dil me Meri Sanso ko Panah chahta hu, Tere Dil me Meri Dhadkan chahta hu, Meri har Ruh me Tera Asar chahta hu, Teri Ankho me Mera Pyar chahta hu, Mere Dil me Teri Tasvir chahta hu, Bas itni si Guzarish he Tere Dil Mere liye thoda sa Pyar chahta hu…

Muraavatien hi sahi Magar ik baat batao Masroof ho…. ?? Ya Bhoolna Chah Rahe ho……. ?

Hum He Wafa-Shikan Thy,Chalo Hum Hi Bewafa!! Tum To Wafa-Shanaas Thy, Tum Kyun Badal Gaye…?? Zahid

Baha k Aansoon mere woh kehte hain “Faraz” Tumhari aankhoon mein paani kitna haseen lagta hai:::::

Meri majbori ko Meri bad-kismati na samajh Kyon ki Mai Aise raste pe chala hu Jaha Perchayi bhi sath chod deti hai..

Bheegi AankhOn WaLi Larki Meri Taraf Jab Daikhti Hai Tu Mann Main JaL ThaLL Kar Jati Hai Mujh Ko PagAL Kar Jati Hai. .

Mere marne se kisi ko zeyada fark nahi padega’ . DOST…. . bus tanhai royegi ke mera humsafar chala gaya….

Wasi, Wo roke or ik raat ka israr kare, “Qasam khuda ki main kisi or ka ho nhi sakta”, Ye wada-e-wafa wo bar bar kre

Main nay ussay poocha tha, Kya dhoop main barish hoti hai?? Wo hanstay hanstay ronay lagi Aur dhoop main barish honay lagi….