Meine ghar ke sarey mausam, Sab deewarain, Saarey pardey, Yaadon se rang daaley hain, Tum aao ge, Tum is ghar ki har khirrki, Har bagheechey, Har ik goshay ko, Apne rang mein dooba hua mehsus karo ge, Aajao na!! Aa bhi jao!!

Sard ratoon ki bhegi tanhai…. Barasti boond ke chhoote hi sulagta sa badan, Beeti yadoon,beete lamhon main sulagta hoa dil, youn guzre saal ke sare dukh aur saree gham, Akela aik December seh leta hai…….!!!

Rishta torr ke jane waley, Mujh ko chorr ke jane waley, Ab ki eid per, Mujh ko jitne cards miley, Un cards mein, Sab se pyara, Sab se acha, Pehla card tumhara hai, Mujh ko chorr ke jane waley, Zara kaho to, Yeh kiss taraf ishaara hai ?

Mein nikla sheher ko, Shaam mein, dil mein kuch armaan they, Ik tarf sabzz jhaarriyaan, Ik tarf tootay qabristan they, Paaon taley, Ik haddi parri, Jis ke yeh beyaan they, Sambhal kar chal, Aye chalney waley, Kabhi hum bhi, Insaan they..

kaisay kahun mjhe tmhari neeli ankhon se pyaar hai kaisay kahun mjhe tmhre chamakte hue honton se pyaar hai kaisay kahun mjhe tmhare bheegta hua hnton se pyaar hai kaisay kahun koi mjhe batye ye sabh mein apne MEHBOOB se kaisay kahun??????

Rishtaa tore ke janey waley, Mujh ko chorr ke janey waley, Ab ki Eid pe, Mujh ko jitney card miley hain, Un cardon mein sab se pyara, Sab se acha, Pehla card tumhara hai, Mujh ko chorr ke janey waley, Zara kaho to, Yeh kiss aur ishaara hai ???

Gham na kar, Gham na kar, Dard thham jaye ga, Gham na kar, Yaar laut aayen ge, Gham na kar, Zakham bhar jaye ga, Gham na kar, Dinn nikal aye ga, Abar khul jaye ga, Raat ddhhal jaye gi, Gham na kar, Ruut badal jaye gi, Gham na kar, Gham na kar…

Manzilen bhi us ki thi, Rasta bhi us ka tha, Mein ik akeli thi, Qafila bhi uska tha, Sath chalny ki soch bhi uski thi, Or phir Rasta badalnay ka faisla bhi uska tha, Aj mein akely houn, Dil shoor karta hy, Kia log bhi usky thy, Kia khuda bhi uska tha?

Tumhe hum pyar karte hain Sunoo janaa, Bohat hi be-sukoni hai humari zaat main, Bohat masrof rehna par raha hai, Bohat se kaam hain, Jo apne zimay ly rakhe hain, Magar inhi sarey jhemilon main, Tumhari yaad ka wo ak jugnoo’ab bhi chamkey tu, Ye ankhain bheeg jati hain..

Usey kehna, Keh thakk sa geya hoon, Mein khud ko saabit karte karte, Agarchey, mere tareekay galat honge, Iraadey magar sachh pe mabni hain, Tum agar chaaho, To mere jazbon ka imtehaan lo, Mere haq me faisla dene ko, Suno ab to to tthaan lo, Usey kehna, Ke thakk sa geya hoon..

Suno! Main Bhool Jaon to_ Agar Main Rooth Jaon to_ Kabi Wapis Na Aaon to_ Bhula Pao gay Sab Kuch kia_ Younhi Hanste Raho gay Kia_ Younhi Sajte Raho gay Kia_ Yehi Batein Hein Bas Us Ki Yehi Yadein Hein Bas Us Ki Muje Maloom Hai ltna_ Muje Wo Piyar Krta tha_ Muje Khonay Se Drta tha

Merii sariii zindagi muhabtun ki talash mn guzrii.. is rah per.. hath lahuluhan our wajOOd reza reza hua ye dukh main hans k seh leta.. agar sachiii muhabten apnii azmatun k mukam pe milten ye dukh nae k muhabten na milen… gham ye h “RISHTUN NE APNA MAAN KHo DIA”

Mohabbat daayimi* hai, Na chup sakti hai yeh, Na dabb sakti hai yeh, Chupaao gey isey gar tum, To yeh izhaar se apne, tumhe hairaan kar de gi, Dabaao ge gar isey tum, To yeh tanhai mein aa kar, tumhe veeraan kar de gi, Mohabbat daayimi hai, Saad!!… (daayimi;natural) Saad Ullah Shah

Wo manzlain bhi kho gai, Wo rasty bhi kho gaye, Jo aashna say loog thay, Wo ajnabi say ho gaye. Na chand tha na chandni, Ajeeb thi wo zindagi, Chiragh thy k bujh gaye, Naseeb thay k so gaye, Ye pochty hain rasty, Rukay ho kiss k wastay. Chalo k tum bhi ab chalo, K Wo meharban b kho gaye..

Jis Ko Tum Chaaho Wo Mohabbat !! Jo Tumhein Chaahe Us Ka Kya? ? ? !! Jis K Liye Tum Roye Wo Mohabbat !! Jo Tumare Liye Roye Uska KYA? ? !! Jis K Liye Tum Tadpe Wo Mohabbat !! J0 Tumhare Liye Tadpa Uska Kya? ? ? !! Jis Ko Tumne Chaaha Wo Tumko Mile !! Aur Jis Ko Tum Na Mile Uska Kya…