Apnay Sard Kamray Main Main Udaas Bethi Hoon Neem-Wa-Dareechon Say… Num Hawaein Aati Hain Merey Jism Ko Chhuu Kar Aag See Lagati Hain Tera Naam Ley Ley Kar Mujhko Gudgudati Hain Kaash Merey Parr Hotay Terey Paass Urr Aati Kaash Main Hawaa Hoti Tujh Ko Chhuu Kay Laut Aaati Main Nahi Magar Kuch Bhi?!! Sung Dil Rawajon Kay Aahni Hisaron Main Umarr Qaid Ki Mulzim Sirf Aik Larki Hoon?!!!

Han suno dosto, Jo bi dunya kahe, Is ko parkhe bina, maan lena nahi saari dunya ye kehti he, Parbat pe charne ki nisbat utarna sehal he Kis tarah maan len, Tum ne dekha nahi, Sarfarazi ki dhun me koi admi Jab bulandi k raste pe chalta he to Sans tak theek karne ko rukta nahi Or isi shakhs ka,umar ki seeryo se utartey hue, pao uthta nahi Isi liye dosto!!! Jo b duniya kahe, Is ko parkhey bina, Maan lena nahi,

Aaj Ek dost ne kaha tu shadi kis se karega ? Maine kaha main shadi shuda hon .. Kehne laga kon hai tera jeevan sathi ? Maine kaha yadein hain kisi ki .. Kehne laga kis ne parhaya tha nikah? Maine kaha mustaqbil k khawabon ne .. Wo bola kaisi guzar rhi hai zindagi ? Main bolne hi wala tha k ankhon se aansu chalak pare .. Wo bola use chor q nahi deta ? Maine kaha haq-mehar meinapni zindagi likhi hui hai…..

Saaray waadon ko bhula skti hun, LAKIN REHNAY DO….. Main tumhe chor k ja sakti hun, LAKIN REHNAY DO…. Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz, faisla mein bhi suna sakti hun, LAKIN REHNAY DO…. Tum ne jo baat ki hai dil ko dukhaney wali, us pr mai Ansoo b baha sakti hun, LAKIN REHNAY DO… Sharam aaye gi tumhein warna tumharay waaday mai tumhe yaad dila sakti hun…. LAKIN REHNAY DO …..

Hatheli samny rkhna, K sub ansoo girein us may, Jo ruk jaega honton pr,Samjh jana k wo hon main, Kabi jo chand ko dekho, To tum yu muskra dena, Jo chal jaye hawa thandi, To ankhein bund kr lena, Jo jhonka tez ho sub se, Samjh jana k wo hon main, Jo zyada yad aaon main, To tum ro lena g bhar k, Agar hichki koi aye, Samjh jana k wo hon main, Agar tum bholna chaho, Muje shayed bhula do tum, Magr jub sans lena samjh jana k wo hon main!!!

Bohat arsaa hua bataya tha mujhe us ne, Banana kuch nahin aata, Agar main kuch banati hoon, To bas chaaye banati hoon, Piyo ge naa… To mein iss baat per, Muskuraata hi raha tha, Ke banana kuch nahin ata, Bas ek chaaye banati ho.. Mujhe chaaye se uljhan hai, Nahin peeta, Nahin peeta, Magar is baat ko beetey, Zamana ho geya logo, Nahin maloom mujh ko, Woh kesi hai, Kahan per hai, Per ab main chaaye peeta hoon, Barri qassrat se peeta hoon, Barri hassrat se peeta hoon..

Agar wo pyaar kar laiti Maira daaman pakaR laiti To jeevan main faqat us say Mohabbat farz ho jaati Mohabbat qarz ho jaati Magar Acha kiya us nay Mujhay samjha kay chal nikli Mujhay thukra kay chal nikli Bohat nadaan si hay wo Abhi anjaan si hay wo Kahan ma’loom hay us ko Mohabat zindagi main bus Faqat ik baar milti hay Agar thukra kay chal niklain To umrain beet jaati hain Mohabbat ki tamanna main Magar Har ik rastay pay Sirf ruswaaii milti hay Faqat tanhaaii milti hay

Mera naam hai mohabbat ! Khoyi khoyi si Dheemi dheemi si Thori unkahi Thori si muskuraati Do dilon ki hai ijazat Mera naam hai mohabbat Bheege sapney Kachi yaaadein Choti choti dil ki baatein Kehti hai yeh zindagi Kaisi hai deewangi Koi rehta hai Aahaton ke sahaarey Choolun to sansanahat Mera naam hai mohabbat Kuch tehreerein Likhte rehna Apne ghar mein chalte rehna Anjaani baaton mein bhi Hoti hai dil ki lagi Sookhe lamhon mein Baarishon ke kinaarey Honton pe hai shararat Mera naam hai mohabbat …..

Wo larki shayad pagal thi, Din raat hi gumsum rehti thi, Kuch sharm-o-haya ka paikar thi, Kuch narm mizaj rakhti thi, Ankhon mai neem nasha sa tha, Baaton sy dewani lagti thi, Humraz na tha uska koi, Bass khuda sr baatein karti thi, Ik shaam ke anchal mai aksar, Jazbat chupaye rakhti thi, Darti thy juda ho janey se, Ya pyar se shayad darti thi, Kya sabar tha us dewani ka, Kya zabt-e-mohabat rakhti thi, Hai rashk mujhy us pagal pe, Kya khoob mohabat karti thi, Wo larki shayad pagal thi, Kya khoob mohabat karti thi..

Tumhara Dil Jo Hai Janaa Humare Naam Ker Daina Zaroorat ger Pari Mujh Ko To Main Kuch Or Mangon ga Na Jaan Maangon ga Na Pehchaan Mangon ga Choti Si Guzarish Hai Tumhara Sath Maangon ga Ager Naraaz Ker Doge Main Tum Se Rooth Jaon Ga Bulana B Ager Chaho To Wapis He na Aaon ga Main Hasaas Larka Hon Mera Dil Toot Jayega Bohut Rona B Aayega Ager Tum Maan Jaoge Khushi Se Jhoom Jaonga Tumhe Apna Banaonga Ager Nazer E Karam Ho To Mera Ik Kaam Ker Daina…..! Tumhara Dil Jo Hai Janaa Humare Naam Ker Daina………

Wo tumhare khaton ke purze, Meri darazon ki ronakay hain, Tumhare khat ka har ek purza, Sambhal rakhkha hai tum samajhkar, Khabar kya tum aakar ke mujhse, Punch betho hisaab pichla, Mai sahama sahama rah jao un hi, Wafaen karke jafa parast sa, Wo tumhare khaton ke purze, Meri darazon ki ronaken hai, Har ek khat mai meri tareefen, Kabhi sanam kabhi jaan likhna, Kabhi wo likhna roothi baaten, Kabhi khushi mai milan ki baaten, Wo khat tumhare, tumhare jaise, Rakhkhe hain ab tak sambhalkar ke, Wo tumhare khaton ke purze, Meri darazon ki ronaky hain,

December ageya jaana, Ke phir ek saal, Teri yaad ke samandar mein, Utar kar jane wala hai, Yeh dil phir roney wala hai, Tumhe kuch yaad hai jaana, Isi pichle december mein, Tumhi ne mujh ko likha tha, Ke neya jo saal aye ga, Us mein mil ke rehna hai, Bohat se pyar ke vaadey, Bohat si ankahi baten, Humain tehreer karni hain, Mohabbat ki neyi nazmein, Humein is baar likhni hain, Magar janaa, Wohi raten, Wohi shaamen, Wohi khushbu, Wohi nazmen, Mujhe har waqt kehti hain, December loat aya hai, Magar, tera sathi nahin aya, December ageya jaana.. December ageya jaana….

Wo aakhiri mulakat k panne ,, Kuch bikhre hue kuch simte hue !!! Wo aakhiri mulakat ka intzar ,, Intzar unki purani yaadon ka !!! Unka wahi purane lihaz se inkaar karna ,, Aur fir muskrate hue aankho se izhaar karna !!! Sab kuch pata hote hue bhi ye dil unhe kyu chahta hai ,, Kyu unn bikhre hue panno se mulakat ka intzar rahrta hai !!! Wo saksh nahi hai naseeb mai mere ,, Fir mukaddar bar-bar usi se kyu takrata hai !!! Wo raat 9:00 baje tak aakhiri mulakat ,, Aur fir jo simte hue panne thy unka bikhar jaana !!! Wo aakhiri mulakat k bikhre panno ko ,, Abb intzar hai simatne ka…….

Mohabat kaisay mar jaye, badan main jo khoon ki manind, jo hai aik janoo ki manind, subha aur sham kay hr pal main, jo hai aik sakoon ki manind, Mohabat kaisay mar jaye, Woh rahti hai dua ban kar, Woh chalti hai hawa ban kar, Woh sumandar kay talatam main, Machalti hai wafa ban kar, Mohabat kaisay mar jaye, Woh sansoon kay sath chalti hai, Rang ban kar nikharti hai, Ghata ban kay woh cha jaye, Woh khushbo ban kay mahkati hai, Mohabat kaisy mar jaye, Woh ebadat meray rab say hai, Tahajud kay saray sajdoon main, Woh rafaqat hr aik shab say hai, Woh laboon pay vird karti hai, Mohabat kaisay mar jaye, Mohabat mar nahi sakti.. Shabeeb Hashmi

Usay Kehna Bicharne Se Muhabat Tu Nahi Marti Bichar Jana Muhabat Ki Sadaqt Ki Alamat Hai Muhabat Ek Fitrat Hai, Han Fitrat Kab Badaltai Hai So, Jab Hum Door Ho Jaein, Naye Rishton Mein Kho Jaein Tu Yeh Mat Soch Lena Tum, Keh Muhabat Mar Gaye Ho Gi Nahi Aise Nahi Hoga Mere Bare Mein Gar Tumhari Ankhein Bhar Ayein Chalak Kar Ek Bhi Ansu Palak Pe Jo Utar Aye To Bas Itna Samaj Lena , Jo Mere Nam Se Itni Tere DIL Ko Aqeedat Hai Tere Dil Mein Bichar Kar Bhi Abhi Meri Muhabat Hai Muhabat Tu Bichar Kar Bhi Sada Abad Rehti Hai Muhabat Ho Kisi Se Tu Hamesha Yaad Rehti Hai Muhabat Waqt Ke Be-Reham Tufaan Se Nahi Darti Usay Kehna Bicharne Se Muhabat To Nahi Marti