Dua to jane kaun si thi, Zehen mein nahin, Bas itna yaad hai, Ke do hatheliyan mili huyi thi, Jin mein ek meri thi, Aur ik tumhari..

Kissi faqeer ki jholi mein, Jab mene aik sikka daala, Tab yeh jaana ke, Iss mehngayi ke zamaney mein, Duyaayen, Aaj bhi kitni sassti hain..

Baar’haa aese laga, Jese tera hath, Mere baalon ko chuaa ho, Tu ne mujhse kaha ho lekin, Raat bhar rootha raha, Tu ne manaya hi nahin…

Is dil ka ik arman hai ik chand me hmari jaan hai. Jise dur se dekhna to mumkin hai Par milna kahan aasan hai. Kyon ki hum to ik zameen hain Arr Vo ik aasman hai

Tere ankhun ma tu, chahat nazar ati hy, mager, tmhary labun pe, ajab c pur israr muskurahat, rhti hy, bhala btao , ay jan e tammnna, mohbbat mai, pur israriyat kesi ? ? ?

Poora chand ankhon mein bharna, Tumse dil mein baaten karna, Ik jesa hai, Yeh ankhon mein, Aur tum dil mein, Jitne paas ho, Utna sukh ho, Kitne door ho, Dukh hi dukh ho..

Hoon To Khafa Us SE Par Jaane Phir Bhi Kyun Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Achha Lagta Hai Haqeeqat Se Hoon Dhoor Ye Mujh Ko Hai Pata Per Jaan Ke Anjaan Rehna Acha Lagta Hai..

Barishon K Mosum Mein .. Unko Yaad Krnay Ki Adatin Purani Hain.. Ab K Baar Socha Hai.. Aadtain Badal Daalian Phir Khayal Aatay Hai.. Adtain Badlnay Say Barishain, Nhi Ruktien..

Es se pehlay key ankh khul jaye, A key honton se meri ankhon per, Koi anmool khawab likh jao, Mera chehra gulab likh jao, Bad main a key apne hathon se, Mera jeevan siraab likh jao..

Nanhi larki, Sahil ke itne nazdeek, Rait se apna ghar na bana, Koi sarkash mauj idhar ayi, to Tere ghar ki bunyadein tak beh jayen gi, Aur phir un ki yaad mein tu, Saari umar udaas rahe gi..

Raabta badhane ka Hunar Hume aata hai Dil pe Chot khane ka Hunar Hume aata hai.. Or Kai dafa.. Marte marte bache hain Doston ke vaadon par… Dosti nibhane ka Hunar Hume aata hai….

Ess kainaat e Muhabat main, Misl e shams o qamer k hain, ik rabta musalsal hai,ik fasla musalsal hai, MAi khud ko b bech doon to tujhe paa nai sakta,, Mai AAM sa hemesha,TU KHASS sa musalsal hai… ?

Batao naa Jab jab shaam dhalay gi, Dil main verani utray gi, Ankhain bhar aein gi, Dil dard ki surat dhal jaye ga, Jab tu rasta badal jaye ga, tu janaan…. Hum tanha ji na paien ge Ya… mar jainge!!..

Akhir keh hi dala us ne ik din, Iss kadar tootay ho, tou bikhar kyon nahin jate, Tanha tanha rehte ho, tou sanwar kyon nahin jate, Kab tak jiyo ge yeh dard bhari zindagi tum, Kisi roz khamoshi se mar kyon nahin jate ?

kashti kagaz or kitab , tere naam k panno ki, mai kashti banaya karta tha, jab fir ankhon ki nadiya mai mai , usko bahaya karta tha,tum jane kaha par chali gayien thi, ye hum sab socha karte the, kashti kagaz or kitaab..