Tum ne kaha tha, Pehli barish ke parte hi, Laut aao ge..!! Hum aur tum mil kar bheegain ge, Dekho jana..!! Kitni phua’rain beet chuki hain, Saawan phir se laut ke aaya hai, Barson pehle kiya tha tum ne, Mujh se ehad, Nibhaa jao na, Janaan! Laut ke aajao naa, Ab to laut ke aajao naa..!!

Har saal ki trah baraf-bari ka mosam iss saal bhi aay tha faraq sirf itna tha ke pichle bars hum dono sath the magar aaj……. aaj bhi me tanha nai hon.. guzre hue kal ki sare yadain mere sath hian magar “yadain” “tere aaghosh ki garmi ka naimul-badal to nahi”

dil se gham nikaal de shairii meiN dhal de. tauba-tauba! kashmkash! maan le ya taal de. dillagi bhi kar kabhi machhliyoN ko jaal de. hum faqeer muntzir apne gham uchhaal de. aaiine ko rakh pare ik balaa to taal de. uljhaneN aziz haiN de koi sawaal de. aaNkh phir chhalak paRi la, mujhe roomaal de.

Aao Jan’ch letey hen Dard ke Traazoo per Kis ka Gham kahan tak hai Shidate’n kahan tak hen Kuch Aziz logo’n se pochna to parta hai Aj-kal Mohabat ki Qeemate’n kahan tak hen Ek sham aa jao, Khul ke Hal-e-Dil keh len Kon jane sanso’n ki, Mohalaaten kahan tak hen…!!

Haseen thi zindagi meri Jab saath tumhaara tha Tab dharkan tum the Ab adhoora hai dil mera Har ek aansoon mei mere Basti hai woh kasmon ki yaadein Cha gaya hai dil mei mere Tumhaari judaai ke andhere Aaj bhi yeh surkh aankhein Idher udher dhoondti hai tumhe Bina tumhaare saath ke Jee nahi sakti hu mei

Woh Jab Bhi Mujh Se Milti Thi…! Har Bar Masomiyat Se Mujh Se Pucha Karti Thi…! Ke Tum Mere Hi Ho Na…??? Aur Main Har Bar Us Ke Chehre Ko, Apne Haathon Se Chu Kar Qasam Khaya Karta Tha…! Par Kash…! Maine Bhi Ek Bar Us Se Pucha Liya Hota… Ke Tum Meri Hi Ho Na…..?

Hawa uss se kehna… ke ab shehr-e-dil mein koi sa hu mausam teherta nahi hai. Muhabbat ka, yah beqarari ka mausam bharosey ka yah be-itbaari ka mausam Hu bechain rehne yah kerne ka mausam yonhi besabab jeene merne ka mausam Yah hu hijer mein aahien bherne ka mausam judaii ke khadshoon se darne ka mausam

Main saari dunya se hi bura hoon, Baja’aa mujhe inkhiraaf kab hai, Magar tumhari kasam hai mujhko, Meri mohabbat mein shak nahin hai, Meri mohabbat to be’hataa hai, Meri mohabbat to devtaa hai, Meri mohabbat se rukhh na morro, Meri mohabbat ka dil na torro, Meri mohabbat ka maan rakh lo.. Dayem Butt

Tumhe kese bhulata main? Ke jab socha tumhe bhoolon, Mere apne, mere saathi, Mera yeh dil, meri aankhen, Yeh mujhse rooth jatey hain, Tumhi ko yaad karte hain!! Tumhe kese bhulata mein ? Mere woh din, meri ratain, Tumhare sath jo beetey, Woh lamhe, pyar ki batain, Tumhi ko yaad karte hain, Tumhe kese bhulaata main??

Aainey jesi ye teri aankhen, Aaina hain ya hain teri aankhen, Gor se dekh raha hoon inko, Kyun hain ghabrayin si teri aankhen, Sharm ka bhojh le na dube inhe, Mujhse sharmaiyn hain teri aankhen, Katra katra sharab lagtin hain, Maqad e surahi si teri aankhen, Hosh ka kyon ab khayal karey, Ajab khumari si teri aankhen.

Bohat khamosh reh ker jo, Sadayein mujh ko daita tha, Barre sundar se jazbon ki, Wafain mujh ko daita tha, Kabhi jo dard ki aatish mujhe, Sulganay lagti thi, Woh apnay saans ki, Mehki hawaayein mujh ko daita tha, Usay main ajnabi samjha, Magar har mor par ‘mohsin’, Woh apnay naam ki saari Duaein mujh ko daita tha..

Dard kya hota hai, samjhayenge phir kisi roz, Aaj hume kush rehne do, azeb zada ho jayenge phir kisi roz, Zidh na karo phir woh dastaan sunne ki, hum gham mein doob ke dikhayenge, phir kisi roz, “Hyder” yeh kaisi aarzo hai, unki dard e hayath sunne ki, kehdo aaj hum ji rahe hai, mar ke dikhaye phir kisi roz. Tauseef Hyde

Sabhi insan hain mager Faraq sirf itna hay Kuch zakham dety hain Kuch zakham bharty hain Humsafar Boht hain Mager Farq sirf itna hay Kuch sath dety hain Kuch chor dety hain Piyar Sabhi kerty hain Mager Farq sirf itna hay Kuch jaan dety hain Kuch jaan lety hain Dosti Sabhi kerty hain Mager Farq sirf itna hay Kuch loog nibhatay hain Kuch loog aazmatay hain

Ik larki, Pagli si, Diwani si, Masoom si, Anjaani si, Apne ghar ki mundair per bethi, In galiyon aur chobaaron ko, In koochon aur bazaaron ko, Dekhti hai.. Jahan us ne apna bachpan guzara tha, Us ki aankhon mein tha, Intizaar.. Kisi ka! Magar usey kaun samjhaye, Ke bachpan ke vaadey to, Kacchi dor ki tarah hote hain, aur, Bhala jane waley, Kab laut kar atey hain..

!!..Suno..!! chup chup se naa raha karo, youn Vehm sa ho jata hai, kahin khafa to nahi ho.,? Kahin *”udas”* tu nai ho,? Tm *”boltay”* achy lagtay ho, Tm *”dant’tay”* achy lagtay ho, Kbi *”sharart”* se, Kbi gusse se, Tm hanstay achy lagtay ho Suno! Chup chap say na raha karo Youn Vhem Sa ho jata hi……!