Un dino, Jab tum they yahan, Andhere dekhkar tumko jagmagate they, Murjhaaye huae phool bhi, Pal bhar mai khil jate they, Bhanron ki shararat tum se thi, Rangon mai rang ghul jate the, Un dino, Jab chand raaton mai pura sa dikhayi deta tha, Jhilmilate taaron ke labon par, Naam tumhara rehta tha, Bahon ko phelaye raaste, Bas tumko bulaya karte they, Manzil ka pata wo khud chalkar, Tumko bataya karte they, Un dino, Jab meri ghazalon ko, Tere geeton ki sargam milti thi, Jab mere dil ki ganga se, Tere dil ki yamuna milti thi, Hawaon ka aana jana tha, Teri zulfon ki dehleezon par, Aanchal mai chupakar rakhti thin, Tum ghanghoor ghataon ko, Na koi kami jeewan mai thi, Jab tum meri bahon mai they, Un dino, Jab ke tum the yahan… by Shamsul Huda Rajpoot

Jab se yeh peghaam mila hai, Jaana’n! tum aaney wali ho, Mausam ne sarey ghar ki tarteeb badal kar rakh daali hai, Chokhat per ik chaand bhi aa kar beth geya hai, Keyi sitaare lounge mein kab se pare huye hain, Kehte hain ke, Is raste se tum guzro gi, Nanhe mune gulabon ka kehna hai, Jitne din tum pass raho ge, Ghar ke har konay mein aakar woh mehkain ge, Phoolon ne mil kar sab konay baant liye hain, Jugnu kab se chat pe, ghar ke, Har goshay mein chamak rahe hain, Suraj aur barish bhi kal se saaye’baan per tikkay huye hain, Dheemey dheemey chehek rahe hain, Shaam to kab se kayi tarah ke mausam le ker, Is kamrey mein ruki hui hai, Jis kamrey mein tum thehro ge, Tum aao ge to yeh shaam hazaron mausam, Sundar sundar sajji huyi ankhon ko de ker Kho jayegi, Phir na kabhi wapis aaye gi, Is se pehle ke yeh shaam bhi, Sarey mausam leker mujhko khaali karke kho jaye, Tum aajao naa’n, Aabhi jao….

Ek shakhs ko deakha tha Taron ki tarha Hamney Ek shaks ko chaaha tha Apnon ki tarha Hamney Ek shaks ko samjha tha Phoolon ki tarhaa Hamney Wo shaks qayamat tha Kya uski karein Batain Din us ky liye Paida Aur uski he thi Ratain Kab milta kisi se tha Ham se thi mulaqatain Rang uska Shahaabi tha Zulfon mein thi Mehkarein Aankhain thi ke jaadu tha Palkain thi k talwarain Dushman bi agar dekhein so jaan se dil Harain Kuch tum se wo milta tha Baton mein shahaabat thi Han tum sa hi lagtaa tha Shokhi mein sharaarat main Lagta bhi tumhe sa tha Dastur-e-mohabbat main Wo shaks hamain aik din Apnon ki tarhaa Bhoolla Taron ki tarha doobba Phoolon ki tarha tootta Phir haath na aaya woh Hamney bohat dhoondha Tum kis liye chonkey hom Kab zikar tumhar hai Kab tum se takaaza hai Kab tum se shikaayat hai Ikk taaza Hikayat hai Sun lo tou inayat hai Ek shaks ko chaaha tha Apnon ki tarha Hamney. (Hikaayat:Saying)(Chonkey:Shocked)(Dastur-e-Mohabbat:Rules of Love)