Doob kar daikh sumandar hon main awazon ka, Talab e husun e samat mera sanata hai.

Us Nay Is Kadar Tanha Kar Diya Mujh Ko Kay Ab Kise Ko Bhee Tanha Dekha Nahin Ja Ta

Saaya bhi tera tujh ko kahin chorr jaye ga, Aayi bhi tere kaam to tanhaayi aaye gi..

Sochta hon k abb anjam e safar kia ho ga, Log bhi kanch k hain rah bhi patharili hai.

Shab-e-tanhaai yahan log aur bohat rehte hain, Tujh ko har roz mera makaan milta hai..

Shayed kisi muqaam par main kaam aa sakoon, Mujh ko bhi sath lijiye tanhaa na jayiye..

Mujhey na dijeeye khairaat ab ujalon ki Ab apney ap ko suraj bana chuka hu mein….

Ajab paheliyan hain hathon ki lakeeron mein, Safar hi safar likha hai hamsafar koi nahin..

Phir wohi raat, wohi hum, wohi tanhaai hai, Phir har ik chott mohabbat ki ubhar aayi hai..

Ab to mehfil se bhi hota nahi gham ka ilaaj, Pehle tanhaayi bhi dukh baant liya karti thi..

Tanhayiyan uthaa na saki’n roshni ka bojh, Saaye bhi dafan ho gaye khali makaan mein..

Main Apni Raaton Ka Jagna Kis Se Karun Bayan, Bas Aik Tanhai Hai Jo Puchti Bhi Nahi Or Galay Laga Laiti Hai…

Geele Kagaz Ki Tarah Hain Zindagi Apni Koi Jalata Bhi Nahin Koi Bahata Bhi Nahin Is Qadar Hain Akale Rahaon Mein Dil Ki Koi Bulata Bhi Nahi Koi Batlata Bhi Nahin

Bass yehi soch ke khawhish hi mittaa di apni, Mujh me koi aur hai jo karta hai marzi apni..

Na janey us ke dil main kitni mehfilen abad hon, Jo akela betha ho usey tanhaa nahi kehte..