Aik ajeeb fikar kha rahi hai mujhe, Apni hi awaaz aa rahi hai mujhe..

Raat, Mohabbat, Tanhayi, Saaray Roop Tumharay Hain……..!

Teri dastak ke muntazir muddat se, Deemak, darwaazey, tanhai aur mein..

Mohabbat ko laazim hai awaargi bhi, Nahin ishq karta assar bethe bethe..

Tanhai mai beth ke aon kuch ron lein wanran ho jai gy ankhen phatthar ki

Saea bhi tera tujh ko kahen chor jae ga, Ae bhi tere kam to tanhai ae gi.

Mujh Ko Fursat Main Apni Haalat Per, Tu Na Aaye to Reham Aata Hai…!!

Kia janiye k itni udasi thi raat kion, Mehtab apni qabar ka pathar laga muje.

Wo bhi bahot akela hai shaid meri tarah, Us ko bhi koi chahne wala nahin mila.

Lo daiti hai tasver nahan khana dil me, Lazim nahin is phol ka poshak pe hona.

Kia rabat kisi anjaman arai se mera, Bharta hi nahin dil kabhi tanhai se mera.

Mein tanhaa tha magar itnaa nahin tha, Meri tanhai mukammal tere aaney se hui..

Tere Hote Howe Aajaati Thi Saari Duniya Aaj Tanhaa Hoon To Koi Nahi Aane Waala.

Bataaon tumhe kahaani udaas logon ki, Kabhi ghaur karna yeh hanstey bohat hain..

Hoa hai tuj se bicharne k bad abb malom, K to nahin tha tere sath aik dunia thi.