Qareeb aashab tanhai tuj se piar karain, Tamam din ki thaakn ka elaj to hi sahi.

Talab ki manzalen nayab to nahin lakin, To apne app ko meri tarah ganwa to sahi.

Paas a kar betho muje apna samjho jab bhi rothi hoi yadon muje tanha dekho  

Gonj uthati hain fizaen kion meri awaz par, Koi hangama pas diwar e tanhai na ho.

Jo adhoori reh gayi thi woh kahani sochna, Beth kar tanhaa batain puraani sochna..

Sarrkon pe ghoomne ko nikale hain shaam se, Asaib apne kaam se, hum apne kaam se..

Meri tanhayi ko mera shoq mat samajhna, Bohat pyar se diya hai yeh tohfa kisi ne..

Khud’gharzz hota to hajoom hota sath, Mukhliss hoon to isi liye tanhaa hoon..

Log us sheher ko khosh hall samaj lete hain, Raat k waqt bhi jo jaag raha hota hai.

Mujh say kehti hai tery sath rahoongi Buht piyar krti hai mujhsey udasi meri…

Zahir ye kar rahi hain shab e gham ki nazahtain, Koi chopa hoa meri tanhaion me hai.

Har waqt ka hansana tujhe barbad na kar de, Tanhai k lamhon me kabhi ro bhi lia karo.

Hawa ne toor k pata zameen pe phenka hai, K shab ki jheel me pathar gara dia hai koi.

Aik muddat se ab yeh aadat hui hai ke bas, Khud hi ruthna aur khud hi manaatey rehna..

Jinn Ke Paas Hoti Hain Umer Bhar Ki Yadain, Woh Log Tanhai Mein Bhi Tanha Nahi Hotay..