Kis lie tum nend se sharma rahe ho is tarah, Khawab me dhala na kabhi raat ko zawal aea.

Wo shakh e jaan pe mehakata hoa gulab hai noor, Use mazaj e khazan ki khabar nahin karna.

Tanhaayiyan kuch is tarah se ddasne lagi mujhe, Main aaj apne paaon ki aaahat se ddar geya..

Kya rabt* kisi ki judaai se mera, Bharta hi nahin dil kabhi tanhai se mera.. (rabt;relation)

Doob kar suraj ne mujhe aur tanha kar diya, Mera saaya bhi chupaa hai mere doston ki tarah..

Nend ka halka gulabi sa khomar ankhon me tha, Yon laga jaise wo shab ko dair tak soea nahin.

Chaandni, phool, hawaa, jaam, sitare, khusbhuu, Zeher ke naam hain, jiss shab nahin hota koi..

Gumsum hua awaaz ka darya tha jo ik shakhss, Pathar bhi nahin ab woh sitaara tha jo ik shakhss..

Apne samaan ko baandhey huye is soch me gum hoon, Jo kahin nahin rehte, woh kahan jaatey hain…

Meri tanhaaiyon se aa ke Abid koi to puchey, Kabhi jab chand pura ho, samandar cheekhta kyun hai.. Abid Gondal

Dil to mera udaas hai Nasir, Yeh sheher kyon sayen sayen karta hai.. (sayen sayen;a synonym to express sadness)

Dobe hoe dil ki wehmi si dharkan bhi sunai sunai daiti hai, Abb us se ziada sanata ae sham e beyaban kia ho ga.

Teray Firaqq Main Jo Lamhayy Hum Pe Guzray “SaaKi” Agr Wo Din Pe Guzartay To Ratt Parh Jatii …

Taghyan e hawadas ki hamdam itni hi nawazish kia kam hai, Kashti na sahi sahil na sahi tofan to hamare hote hain.

Basti mein hai wo sannata k jangal maat lagy.. Shaam dhaly bhi ghar pohanchon to aadhi raat lagy.. Khat mein dil ki batein likhna achi baat nahi, Ghar mein itnay log hein jaany kis k haath lagy… Un sy bichray dil ko ujray barson beet gaye, Aankhon ka ye hal abhi tak kal ki baat lagy… Mutthi band kiye baitha hon k koi daikh naa ly, K chaand pakarny ghar sy nikla “jugnoo” haath lagy…!!!