Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Ghum Ke Railay Hain Ab Tumhain Kya Batayain, Ke Tum Bin Kitne Akele Hain

aat ki tanhai mein aksar, yeh souchta rehta hun logou, Muhabbat dua ha saza ha jaza ha ya ek gunnah ha

Khud hi chorr gaye hain tou chalo acha hua, Itne ehbaab kahan hum se sambhaley jatey.. (ehbaab;relatives)

Wo parinda jisay apni he pervaaz sy furset na thi faraz…. Aj tenha hova to mri he dewaar py a betha.

Tanhayi Ke Aatishdaan Mein Mein Lakri Ki Tarah Jalta Tha Tere Saath Tere Hamraahi Mere Saath Mera Rasta Tha

Kal raat tanhaa chand ko dekha tha mene khawb mein, Mohsin, mujhe raas aaye gi shayed sada’aa awaargi…

Tanhaai ki Raat Katt He Jayegi Itne Bhi Hum Majboor Nahi, Dohra Kar Teri Baton ko, Kabi Hans Len Gy Kabi Ro Len Gy..!!

Aaj Fir Dil Mein Udasi Samayi Hai Jaane Kyun Ek Mayusi Si Chhayi Hai Aaj Fir Palkon Pe Pani Hai Bheer Mein Hoon Fir Kyun Ye Tanhai Hai

Kyu Hame Kisiki Talash Hoti Hai Kyu Dil Ko Kisiki Aas Hoti Hai Chand Ko Dekho Vo B Tanha Hai Fir B Uski Chandni Se Roshan Raat Hoti Hai

Dhalte saayo’n mein tere koochay se, Koi guzraa hai bar’haa tanhaa.. (saayon;shades)(bar’haa;several times)(koochay;residence)

Pyar Kisi Se Jo Karoge Ruswai Hi Milegi Wafa Kar Lo Chahe Jitni Bewafaai Hi Milegi Jitna Marzi Kisi Ko Apna Bana Lo Jab Ankh Khulegi Tanhai Hi Milegi

Is Do Pal Ki Zindagi Mein Tanhai Kyu Hai ? Logon Ko Humse Ruswai Kyu Hai ? Is Duniya Mein Insane Kam To Nahin Phir Mere Saath Sirf Meri Parchai Kyu Hai

Manzile Bhi Uski Thi Rasta Bhi Uska Tha Ek Main Akela Tha, Kafila Bi Uska Tha Sath-Sath Chalne Ki Soch Bi Uski Thi Fir Raasta Badalne Ka Faisla Bhi Uska Tha

Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko Chalega Mehfil Me Jab Zikr Hamara Koi To Tum Bhi Tanhayi Dhundoge Aansu Bahane Ko

Geelay Kaagaz Ki TarhaN Hai Zindagi Apni, Koi Likhta bi Nahi Aur Koi Jalaata bi Nahi, Is Qadar Akailay Ho Gaye Hain Aaj Kal, Koi Satata bi Nahi Aur Koi Manaata bi Nahi…