Teri Nigah bhi is Dour ki zakaat hui, Jo Mustahiq hai usi par na pari….

Ye tairgi to bahar hal chat hi jae gi, Na raas ai humen roshani to kia ho ga.

Libas daikh k itna humen ghareb na jaan, Hamara gham teri amlak se ziada hai.

nigaah brq nahi , chahraa aaftaab nahee wo aadmi hai mgr dekhnay ki taab nahee

Dair to lagti hai us ko bharne mein, Jis zamkhm mein shamil ho apno ki inayat..

Toty kabhi tu khawab shab-o-roz ka talism itny hajoom mai koi chehra nia bhi ho

Monoos ho gea hon gham e dil se is qadar, Milta hai abb sakoon muje iztarab me.

Ghamgasari bhi kisi ghan ka madawa to nahin, Bojh jis ka ho use ap uthana ho ga.

Shaid ye us k gham me solagne ka hai asar, Itna gadaz to meri tehreer me na tha.

Gham e hayat preshan na kar sake ga muje, K aa gea hai hunar muj ko muskurane ka.

Teri zulfon ki siahi se na jane kaise, Gham ki zulmat meri raton me chali ai hai.

Phelao hawa hai mere adrak se paida, Wasat maire andar hai sumandar me nahin hai.

Dil jis se beqarar hai aao ghazal likhen, Uss gham ka intizaar aao ghazal likhen..

Teharta hy jo ek qafla gham mery Dil mai es choti sy basti sy guzar kuin nahi jata

Gham to sone nahin daita magar waqt ka bhi, Thapkian de k solane k hunar ate hain.