Ik kiran bhi to nahi gham ki andheri raat mein, Koi jugnu, koi aansu, koi taara kuch to ho..

Gham is tarah raha hai musalsal khushi ke sath, Saaya ho jis tarah se laga roshni ke saath..

Ye mera haal hy jis pr hansi aa gayi tumhe, Aksar isi haal ne hanste huon ko rula dia…

Hansey woh laakh magar zabt-e-gham ki tehreeren, Na chup saken gi ke chehra kitaab jesa hai..

Be-talab kis ke galey mein daal doon is haar ko, Mujh se meri zindagi bhi maangta koi nahin..

jo bujha to raat ka lamha lamha sanwar gaya wo charaagh tha kaeen taaqachoon main bikhar gaya

qaid hiaat o bnd gham, asl main donon aik hi hain maut sa pahla aadmi gham sa njaat paya kion

shaam bhi thi dhowaan dhwaan, hsn bhi tha udaas udaas dil ko kaeen kahaniaan yaad si aagayeen

jaanay kis kis kay gunaah hum ho bhugatnaa partay hairiat guzri kay tum kaatb taqdeer na thay

Wo baat baat pe deta hai parindoon ki misaal Saaf saaf kiyun nahi kehta mera shehar chorr dey

Meri har mangi hui dua bekar gayi Toqeer jane kis shaksh ne chaha tha usey itni shidat k sath

Nafrat usi kay sath mohabbat usi kay sath, Han qata kar lia hai ta’aluq sabhi kay sath..

Tofan e gham ko teh me chopa kar khamosh hain, Kuch dil samandaron se bhi gehre hon jis tarah.

Bulaoon ga na miloon ga na khat likhoon ga tujhe, Teri khushi kay lia khud ko ya saza dun ga ..

Katt to jayegi tere gham ke saharey zindagi, Aur agar aye dost tere gham se jee ghabraa geya ??