Kartey hain meri haamiyon ka tazkraa is tarah, Log apne amaal mein farishtaa hon jaisey..

Apne ghamon ka hisaab karne kya bethe they, Nazar aye sabhi chehrey jaaney pehchaney se..

Gham zindagi ke sath hai saaye ki shakal main, Aye dost yeh ghalat hai to koi misaal de..

sakht mushkil tha tujhe haath sa janay dena dekh is dil par rakha hum na bhi kaisa patha

Ab tu khuwahish hy ke ye zakhme bhi kha kar dekhe Lamha bhar ko sai es ko bhula kar dekhy

Nai zindagi ne muj ko nae gham ata kiye hain, Muje kia sanar hai ho ye haqayatain purani.

Ghamon se ulajh kar muskurana meri fitrat hai, Mujhe nakamiyon per asshk bahana nahi ata..

Baaqi ab meray hisay ki ab do hee baatain hain, Jeenay ki dua dena marnay ki duaa karna!..

Mumkin hai palat kar main chala aaon safar se, Woh naam tou ley rooh ki gehraayi se mera..

Teri talaash mein mera Wajood hi na raha, Tabah kar gayi meri hasti ko arzoo terii….

Hanse wo lakh magar zabat e gham ki tehrerain, Na chop sakain gi k chehra kitab jaisa hai.

Zaraf ho to gham bhi ik nehmat hai ik soghat hai, Jo sakon rone me hai muskarane me nahin.

Gham ki tashreeh* bohat mushkil thi, Apni tasveer dikhaa di hum ne.. (tashreeh;explanation)

Bara hai dard rishta ye dil ghareeb hi sahi, Tumharay naam par ayain gay Ghum gusaar chalay

Sadian hain guzari hi chali jati hain nazish, Lamhe hain k ik umer se chup chap khare hain.