Khud apne saaye ke agey khara hoon hath phelaye, Talab duniyaa se kya karta, main sayel hoon faqat apna..

Pal mein hamare dekhte dekhte hanste baste logon ko, Kese lag jaya karti hai, Kabhi na tootne wali chupp..

Samajhta hoon ke dunya mein hamesha ranj sehna hai, Magar phir kya karoon aasi, issi dunya mein rehna hai..

Aansoo, Aahein, Tanhai, Veeraani, or Gham-e-Musalsal, Ik zara sa ishq hwa tha, kya kya virasat mein de gaye.

Akaila raat bhar tarpa mareez e shaam e gham saqi Na tum aaye na neend aai na chain aaya na moat aai…

Muu’n chupaaye huye guzra hai idhar se jo woh aaj, Us ki aankhon mein koi zakham neya lagtaa hai….

Teri zulfon ki seyaahi se na’jaane kaise, Gham ki zulmat meri raaton mein chali ayi hai.. (zulmat;darkness)

Agar wo pooch lein hamse, Tumhein kis baat ka gham hai.. To phir kis baat ka gham hai, Agar wo pooch lein humse..

Abhi Tak Mojood Hein Es Dil Mein Tery Qadmoon K Nishan . . . Tumhary Baad Es Raah Sy Kisi Aur Ko Guzarnay Nahi Diya . .

Wo Kitna Mehrban Tha K Hazaron Ghum De Gaya Mohsin..!!! Hum Kitne Khud Gharz Nikle Kuch Na De Sake “MUHABBAT” K Siva..!!!

Teri yaad me zara aankhe bhigo lu. udas raat ki tanhai me so lu. Akele ghum ka bojh ab sambhlta nahi. agar tu mil jaye to tujse lipat kar ro lu.

Bohat Khud Per Jabar Ker Ke, Mohabbat Ka Safar Ker Ke.. Usay Panay Ki Chahat Main, Mohabbat Ki Musafat Main.. Bas Itna Jaan Paye Hum, Mohabbat Maar Deti Hai..!!!

Uski aankhon may koi dukh basa hai shayad, ya mujy khud he veham sa howa hai shayad, main ny pocha k bhol gaye ho tum bhi ? pOnch kar aansu mjhy Usny kaha …”SHAYAD”

Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta Phir hum se bayan ranj ki tafseel wo karta Yak tarfa takazay to nibae nhai jate Kuch apne faraaiz ki bhi tameel wo karta, Ilzamm lagata wo bare sho se par, Kch apne kiye wadoon ki takmeel wo karta, Kuch us ko bi ehsas to hota tanhai ka, Kuch khuwab mere khud me tabdeel wo karta..

Chalo door chalte hai iss duniya se kahi Jaha tum ho aur me hu aur koi kahi nahi Jaha sirf tumhari mahak ho phulo ki nahi Jaha dhkehu tumhari aankho se apni nahi Jaha noor ho tere chehre ka chand ka nahi Jaha mausam ho pyaar ka taqraar ka nahi Jaha hawaye ho teri zulfo ki mitti ki nahi Chalo dur chalte hai iss duniya se kahi….!!