Humesha muskura kay aansooun ko chupayaGhum ko chupanay ka yehi rasta nazar aayaKis kis ko batatey behtey ashkon ka sababKay derd-e-dil dil main kis nay jagayaMehfilon main kahin bhi maza na rahaRakha dil pay pather to khud ko sajayaBaat bay baat apni aahain daba kerYaron kay dermiyan kis qadar muskurayaNa thi chah kabhi mujahy mankashi kiJaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilayaKya muqadar say shikwa kertey rahainJo qismat main tha wohi kuch to paayaYeh kis mor pay aagaee hain umeedainKay saaya-e-manzil nazar main na aayaApnoon nay palat kay daykha tak nahinGhairon nay aaker galay say lagaayaAcha hua kay raaz khul hi gayaDil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalayaShab-o-roz chahat sila yeh hay shaikiDil kay tukrey huay wo chunney na aaya

Your Comment Comment Head Icon

Login