kabhi chanda ki nagri say koi pegham aye tokabhi taroon ka honton per kisi ka naam aye tokabhi tareek shab main koi jugno jagmagata haiMUJHE WO YAAD ATA HAI........kabhi jab saans say uthta dhuan mehsoos hota hoajab si aanch pe haar karuan mehsoos hota hoto uss ki pyar ki barish main tan man bheg jata haiMUJHE WO YAAD ATA HAI........kabhi raaton ko uth uth kar bohat bechain hoti hoonagar jo letna chahon to bas takiye bhigoti hoonkoi ruthi hui shab neend ki pariyan bulata haiMUJHE WO YAAD ATA HAI........kabhi jab titliyon k pankh bhi be rang ho jayenmeri saari baharain bhi khizan k sang ho jayentabhi ek aas ka panchi dar e dil khatkatata haiMUJHE WO YAAD ATA HAI........wo jiss k dhyan ki kirnain hamain har subh jagati hainusi ki yaad k saye main shamin muskurati hainmujhe chu kar jo har shab sang say hera banata hai

Your Comment Comment Head Icon

Login