Al-Wida..Hamain jab Al-wida kehnay lago tow muskra daina..Sitara sath ker daina..K rastay mein andhairay bhi tow aein gay..Kisi harf-e-Dua ka istaara sath ker daina..Hamain zaad-e-safar ko tumhari yaad ki sogaat kafi hai..Tumharay sath mein guzra howa pal bhi ghaanimat hai..kabhi tehray jo rastay mein..Sunehari yaad ki surat tumhain ham-rah paein gay..Tow ham tanha kahan hoon gay..Magar phir bhi..Hamain jab al-wida kehnay lago tow muskura daina..Sitara sath ker daina..Kisi harf-e-Dua ka istaara sath ker daina.. !!

Your Comment Comment Head Icon

Login